Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Ek Kahani Nanhe Munne - एक कहानी नन्हे मुन्ने
ek kahani nanhe munne bacho
tumhe sunani hai
na isme mahlo ka raja na pariyo ki rani hai
ek kahani nanhe munne bacho tumhe sunani hai
na isme mahlo ka raja na pariyo ki rani hai
aur na isme chand pe rahne wali budhiya nani hai
bolo bacho kya tumne bhi aisi suni kahani hai
aisa hi ek kissa aao tumhe sunaye
aisa hi ek kissa aao tumhe sunaye
kitna bal hai ekta me tumhe bataye
kitna bal hai ekta me tumhe bataye
kisi jungle me rahta tha ek siyar
sath me tha chhota sa uska parivar
biwi bacho ke sath rukhi sukhi kha kar
kisi tarah se apna din tha raha guzar
kabhi kabhi to adhi roti bhi na wo log pate the
aasu peekar bhukhe pyase bache yu so jate the
bhukh se bachne ka phir usne socha ek upay
kisi aur jungle se jakar kyu na roti laye
kyu na roti laye
yah soch dusre jungle me wo ja pahucha
ek bhayanak sher jaha ka tha raja
wo bada hi jalim tha sab usse darte the
khud bhukhe rah kar bhi jalim ka pet bharte the
jurm ke badh jane se sab trahi trahi karne lage
jalim ke hatho se jab bemaut bechare mrne lage
tab siyar ne sabko bulaya ek rasta unhe dikhaya
ekta ka usne sabko aisa hi ek path padhaya
uske bad kya hua
phir sabne mil kar us jalim ko pal me
maar giraya pal me mar giraya or kaha
usko na jinda chhod enge hak jiska sabne mara hai
har jor jurm ki takkar me sangarsh hamara nara hai
sangarsh hamara nara hai sangarsh hamara nara hai