|
|
Thumb |
Song Heading |
Singer / Movie |
Music By / Lyricist |
Actor / Category |
|
Video of the song from youtube |
Advertisements |
|
|
Lyrics of Hello Magan Mast Ghar Ghar Mein - हेल्लो मगन मस्त घर घर में hello hello hello hello
magan mast ghar ghar me aaj karta hai telephone
bhai magan mast ghar ghar me aaj karta hai telephone
ke duniya daulat ki
aji is daulat ke liye
is daulat ke liye
dost hi kare dost ka khun
ye duniya ye duniya ye duniya daulat ki
mister ye duniya daulat ki
sister ye duniya daulat ki hurrr
is kaljug me insano ne karam dharam sab tyage
paise ke pichhe pichhe din raat aadmi bhage
is kaljug me insano ne karam dharam sab tyage
paise ke pichhe pichhe din raat aadmi bhage
are bhage raat aadmi bhage
aji is paise ke aage
ho paise mile to watan chhodkar
bhai paise mile to watan chhodkar
ja pahunche rangun
ye duniya daulat ki
bhai magan mast ghar ghar me aaj karta hai telephone
ye duniya ye duniya ye duniya daulat ki
sada raam ye duniya daulat ki
o mere yaara ye duniya daulat ki
bhul gaye hai mahabharat sab bhul gaye ramayan
bhul ke sat narayan puje duniya nagad narayan
bhul gaye hai mahabharat sab bhul gaye ramayan
bhul ke sat narayan puje duniya nagad narayan
nagad narayan nagad narayan
nagad narayan nagad narayan nagad narayan
o nagad hai jinke pass
bhai nagad hai jinke pass
wo ghume banke apna khun
ye duniya daulat ki
bhai magan mast ghar ghar me aaj karta hai telephone
ye duniya ye duniya ye duniya daulat ki bhai waah
ye duniya daulat ki bhai waah
hello hello
|
Comments for lyrics of song "Hello Magan Mast Ghar Ghar Mein" |
|
surindersidhu00 on Wednesday, April 10, 2013 Anil ji,First of all thank you very much for like this very rare song &
second thing is its my mistake this movie is released in 1960 as you
said.The other song from the same movie (Mat samjh mujhe tu kangla) has
also on my channel. Yeh geet isi movie ka hai mere samne RAFI SAAB ke
geeton ki book padi hai.Thanks.
TheDeepakp on Friday, May 09, 2014 FILM: "DO DOST" = 1960.
Film cast: Kamran, Chitra, Helen, Mehmood, Hiralal
Singer: Asha Bhosle, Mohammed Rafi, Manna Dey, Sudha Malhotra, Mahendra
Kapoor, Mubarak Begum
Lyricist: Bharat Vyas, Farooq Qaiser, Akhtar Romani
Music Director: Chandrakant (1), S Mohinder
Film Director: K Anand
geet bahar on Wednesday, April 10, 2013 Ha Ha Ha Ha bahut hi acha comedy song hai.Pahli baar suna bahut pasand
aaya. Thank you Surinder ji. Dear Surinder ji main thoda confuse hoon is
film ke naam se aapne film ka naam DO Dost mention kiya hai.Par Do Dost
film 1960 mein released hui thi. Aur us film mein bhi ye song nahin tha.
Please Clarify kareneng to mehrbaani hogi. Year 1958 mein Do Dost naam ki
koi bhi film released nahin hui hai. Kyun ke mere paas Do Dost film ke
saare songs ki list hai. Lekin ye geet usmein nahin hai.
|
Do Dost |
Film cast: | Kamran, Chitra, Helen, Mehmood, Hiralal | Singer: | Asha Bhosle, Mohammed Rafi, Manna Dey, Sudha Malhotra, Mahendra Kapoor, Mubarak Begum | Lyricist: | Bharat Vyas, Farooq Qaiser, Akhtar Romani | Music Director: | Chandrakant (1), S Mohinder | Film Director: | K Anand | External Links: | Do Dost at IMDB |
|
|
You may also like songs from these films on HindiGeetMala |
|
|
|