Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Insaf Ka Tarazu Jo Hath Me Uthaye - इंसाफ का तराजू जो हाथ में उठाये
insaf ka tarazu jo hath me uthaye
zurmo ko thik tole zurmo ko thik tole
aisa na hoke kal ka itihashkar bole
mujrim se bhi jayada munsif ne zulm dhaya
ki pesh uske aage gam ki gawahiya bhi
rakhi nazar ke aage dil ki tabahiya bhi
usko yaki na aaya insaf kar na paya
aur apne is amal se badkar mujrimo ke
napak hoshlo ko kuch aur bhi badaya
insaf ka tarazu jo hath me uthaye
ye bat yaad rakhe ye bat yaad rakhe
sab munsifo se upar ek aur bhi hai munsif
wo jo jaha ka malik sab hal janta hai
neki ke aur bhadi ke ahewal janta hai
duniya ke faislo se mayus jane wala
aisa na hoke uske darbar me pukare
aisa na hoke phir uske
insaf ka tarazu ek bar phir se tole
mujrim ke zulm ko bhi
munsif ki bhul ko bhi munsif ki bhul ko bhi
aur apna faisla dekh wo faisla ke jis se
har ruh kanp uthe
Comments for lyrics of song "Insaf Ka Tarazu Jo Hath Me Uthaye"
Avinash Scrapwala on Monday, September 02, 2013 thanks for this upload... !!! Sahir Saab the great .. who always take on
the hypocrisy in our society ...!!