Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Maranaa Bhi Mohabbat Men Kisi Kaam Na Aayaa - मरना भी मोहब्बत मे किसी काम ना आया
marna bhi mohabbat me kisi kam na aaya
di jan magar de ke bhi aaram na aaya
di jan magar de ke bhi aaram na aaya
kahate hai jise ishq qaayamat ki bala hai
shola hai kabhi aur kabhi bad-e-saba hai
ashko ka samadar hai to aho ka khazana
sunate chale aye azal se ye fasana
is qisse ka lekin kabhi ajam na aaya
is qisse ka lekin kabhi ajam na aaya
marna bhi mohabbat me kisi kam na aaya
di jan magar de ke bhi aaram na aaya
di jan magar de ke bhi aaram na aaya
marne ki mohabbat me aaja aur hi kuchh hai
is zahar ke pine ka maza aur hi kuchh hai
marte hai to marne ki shikaayat nahi karate
dilawalo dikhane ki mohabbat nahi karate
ab tak to mohabbat me ye ilzam na aaya
ab tak to mohabbat me ye ilzam na aaya
marna bhi mohabbat me kisi kam na aaya
kisi kam na aaya
di jan magar de ke bhi aaram na aaya
di jan magar de ke bhi aaram na aaya
hota na agar ishq to duniya bhi na hoti
jine ki kisi dil me tamanna bhi na hoti
bijali me chamak taro me ye nur na hota
laharo ko machalana kabhi mazur na hota
kya lutf jo hotho pe ye hi jam na aaya
kya lutf jo hotho pe ye hi jam na aaya
marna bhi mohabbat me kisi kam na aaya
kisi kam na aaya
di jan magar de ke bhi aaram na aaya
di jan magar de ke bhi aaram na aaya
marna bhi mohabbat me kisi kam na aaya