Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Panaghat Pe Dekho Aai Milan Ki Belaa - पनघट पे देखो आई मिलन की बेला ला
panaghat pe dekho aai milan ki belaa laa
panaghat pe dekho aai milan ki belaa laa
thumak-thumak raadhe chori-chori aai
o ji ji ji ji ji ji ji
sakhiyo se puchhe kit chhupe hai kanhaai
o ji ji ji ji ji ji ji
haay bansi ki dhun sun sudh bisaraai
o ji ji ji ji ji ji ji
man huaa baawara nahi manaaye maane re
panaghat pe dekho aai milan ki belaa laa
o rup ye kiskaa sakhi re
mere man ko bhaa gayaa
mere man ko bhaa gayaa
kaun ye naino me mere
rang ban ke chhaa gayaa
chhaa gayaa re chhaa gayaa
koi gup-chup gup-chup gaaye
hriday me chupke chupke chupake
dhadakan me basataa jaaye
re chupke chupke chupke chupke
man huaa baawaraa nahi manaaye maane re
kunjan me dekho aai milan ki belaa
o aaj naino me kisi ke
meri duniyaa kho gai
meri duniyaa kho gai
ho gayaa meraa koi
aur mai kisi ki ho gai
ho gai re ho gai
jhan jhanan jhanan laharaai
paayaliyaa mori mori mori
jhan jhanan jhanan laharaai
paayaliyaa mori mori mori
mai piyaa se milne aai re
chori chori chori chori
man huaa baawaraa nahi manaaye maane re
kunjan me dekho aai milan ki belaa
o ji ji ji ji ji ji ji
man huaa baawaraa nahi manaaye maane re
panaghat pe dekho aai milan ki belaa
laa belaa laa
Comments for lyrics of song "Panaghat Pe Dekho Aai Milan Ki Belaa"
TheDeepakp on Wednesday, September 25, 2013 Film: "NAUJAWAN" - 1951. cast: Premnath, Nalini Jaywant, Yashodhara Katju,
Kamal Mehra, Zeb Qureshi, Cuckoo, S N Banerjee, Nandini Singer: Geeta Dutt,
Kishore Kumar, Lata Mangeshkar, Manna Dey, Mohammed Rafi, Shamshad Begum
Lyricist: Sahir Ludhianvi Music Director: S D Burman Film Director: Mahesh
Kaul
satishchopra1 on Monday, July 26, 2010 A totally forgotten lyrics of Sahir Ludhianvi. His first film as lyricist.
Amrit Patel on Sunday, December 21, 2014 So beautiful song. Sahir's word's, SD's Dhoon. This song has touch of
Robindor Sangeet.
rumahale on Saturday, June 28, 2014 Wonderful. Thank you for the rare gem (forgotten song.
appatel on Monday, November 09, 2009 This one is Shantiniketan chirography.