Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Teri Mehfil Tera Jalwa - तेरी महफ़िल तेरा जल्वा
teri mahfil, tera jalwa, teri surat dekh li
teri mahfil, tera jalwa, teri surat dekh li
meri aankho ne
meri aankho ne isi dunia me jannat dekh li
meri aankho ne isi dunia me jannat dekh li
eye meri jane tamnna
eye meri jane tamnna eye meri jane wafa
pyar ki manjil dikha di tune tera sukariya
tune tera sukariya
tere dar pe muskurati maine kismat dekh li
meri aankho ne
meri aankho ne isi dunia me jannat dekh li
ek dil or uspe lakho
ek dil or uspe lakho girne wali bijaliya
ye jawani ye adaye ye tadap ye sokhiya
ye tadap ye sokhiya
sar se leke paw tak maine kayamat dekh li
meri aankho ne
meri aankho ne isi dunia me jannat dekh li
umar bhar jinda rahunga
umar bhar jinda rahunga mai sahare par tere
zinagi apni luta dunga isare pe tere
mai isare par tere
maine teri mast najro me mohabbat dekh li
meri aankho ne
meri aankho ne isi dunia me jannat dekh li
teri mahfil tera jalwa teri surat dekh li
Comments for lyrics of song "Teri Mehfil Tera Jalwa"
reverseswing on Saturday, October 12, 2013 Aap ki baat se ittefaq karta hoon. Naushad ki mausiqui ka base hamesha
CLASSICAL MUSIC raha hai aur unke Ganaon mein isi ka rang hota hai. Punjabi
Music style par bhi Naushad ne Gaanaa banaya tha, film JADU ke liye " EK
JHOOT HAI JISKA DUNYA NE" (Rafi) . Punjabi Music Style par OP Nayyar Sahib
bahut achhe Ganey banaye chaahe pas e manzar Punjabi ho ya Ghair Punjabi. "
Pooch Mera Kya Naam Re..." , film CID ka ye Gana Punjabi Folk par hai jabke
film ki kahani Bombay ke ird gird ghoomti hai.
asim306 on Friday, June 12, 2009 MOHD RAFI ki Awaz ne muje Janat ki duniya dekha di-
thanx 4 share killer song
tmjatala on Saturday, August 29, 2009 Naushad 100% professional mosiqar thay. Unhain sirf is cheez se gharaz i
thi k gana chalna chahiye. Gana hit ho . chahe "Zaman o Makan" ( time &
space ) k taqazon ko pura karta ho ya na ho.Dil Lagi , Waaris Shah ki Heer
per adharik thi us k tamam ganay hit hoye laikan aik ganas bhi aisa na tha
jis mein Punjabiat nazar aati ho . "Tu mera chand"mein peechay piano baj
raha hota hai .Sohni Mahinwal ka music bhi hit tha lekan yeh ganay kisi bhi
film mein rakhay ja sakte hain
nish147 on Friday, July 15, 2011 very heart touching song by rafi sab, he is mukri not om prakash
Farooq khan on Saturday, April 16, 2011 @tmjatala Very,very mature comments .