Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Aaj Hai Gulfam Se Bhi Badhkar Teri Shan - आज है गुलफाम से भी बढ़के तेरी शान
aaj hai gulfam se bhi badhke teri shaan
allah meharban to gadha pahalwan
allah meharban to gadha pahalwan
aaj hai gulfam se bhi badhke teri shaan
allah meharban to gadha pahalwan
allah meharban to gadha pahalwan
jaane tu jaat ka dobhi ya koi naai hai
hai koi chor ya mochi hai ya halwai hai
jaane tu jaat ka dobhi ya koi naai hai
hai koi chor ya mochi hai ya halwai hai
jo bhi hai apne liye hai mujhe is baat se kya
badshahat teri kismat me magar teri aayi hai
badshahat teri kismat me magar teri aayi hai
kadmo me tere hai takat suleman
allah meharban to gadha pahalwan
allah meharban to gadha pahalwan
aaj hai gulfam se bhi badhke teri shaan
allah meharban to gadha pahalwan
allah meharban to gadha pahalwan
aisi surat to nahi thi ke tujhe hur mile
aisi surat to nahi thi ke tujhe hur mile
farshe makhmal pe chale khane ko angur mile
farshe makhmal pe chale khane ko angur mile
tune socha bhi na hoga ke teri raato ko
husnwalo ke hasi jalwo ka ye nur mile
husnwalo ke hasi jalwo ka ye nur mile
kismat ka hai sara khel meri jaan
allah meharban to gadha pahalwan
allah meharban to gadha pahalwan
aaj hai gulfam se bhi badhke teri shaan
allah meharban to gadha pahalwan
allah meharban to gadha pahalwan
kal talak thande pade the tere ghar ke chulhe
aaj baaho me hasino ke tu jhula jhule
kal talak thande pade the tere ghar ke chulhe
aaj baaho me hasino ke tu jhula jhule
tujhpe kuch itna meharban hai uparwala
aaj tu chahe to ye chand sitare chhule
aaj tu chahe to ye chand sitare chhule
hazir hai aaj sabhi aish ke samaan
allah meharban to gadha pahalwan
allah meharban to gadha pahalwan
aaj hai gulfam se bhi badhke teri shan
allah meharban to gadha pahalwan
allah meharban to gadha pahalwan
Comments for lyrics of song "Aaj Hai Gulfam Se Bhi Badhkar Teri Shan"
Sankalp Manocha on Tuesday, March 11, 2014 a very old but nice song
madan manocha india
Durgamaaji on Sunday, September 25, 2011 It is Asha ji's expressive vocals that make Helen so desirable!
Dee Thakore on Sunday, April 19, 2009 Allah meharbaan to gadha pehalwaan, very true! ;)