Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Aaj Ke Naam Aur Aaj Ke Ghum Ke Naam - आज के नाम और आज के गम के नाम
aaj ke naam aur aaj ke gham ke naam
aaj ka gham ke hai zindagi ke bhare
gulsita se khafa, zard patton ka ban
zard patton ka ban jo mera desh hai
dard ki anjuman jo mera desh hai
unn dukhi maaon ke naam, unn dukhi maaon ke naam
raat me jinke bachche bilakhte hai
aur nind ki maar khaaye huye baajuo se sambhalte nahi
dukh bataate nahi, minnato zaariyo se behalte nahi
unn haseenaon ke naam, unn haseenaon ke naam
jinki aankhon ke gul chilmano aur dareecho ke belon pe
bekaar khil khil ke murjha gaye hai
unn beyahtaon ke naam, unn beyaahtaon ke naam
jinke badan bemohabbat riyaatar
se jo thee saj saj ke ukta gaye hai
bewaaon ke naam
katadiyon aur galiyon mohallon ke naam
jinke naapaak khashaak se
chand raato ko aake karta hai aksar vazoo
jinke saayon me karti hai aahob ka
aanchalon ki hina, chudiyon ki khanak, kaakulon ki mehak
aarzoo mand seeno ki apne pasine me jalne ki boo
padhnewaalo ke naam
aaj ke naam aur aaj ke gham ke naam
unn dukhi maaon ke, unn haseenaon ke
unn beyahtaon ke naam
Comments for lyrics of song "Aaj Ke Naam Aur Aaj Ke Ghum Ke Naam"
Zeeshan Shahid on Thursday, November 26, 2015 Faiz's words are always more melodious than any singer's voice
suby007 on Tuesday, November 03, 2015 Finally!!, couldn't find it on youtube before
kohatencl on Wednesday, September 02, 2015 Bahut bahut shukriya Sachin saab