Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Aanan Faanan (Remix)
annan faanan hua kya se kya
mein jaanemaan hua kya se kya
dhadka dhadka dhadka sa dil
kheta hai yeh fasana
tadpa tadpa tadpa sa dil
chahe tere pass aana
ek pal toh mujhe dekhati sharmaayi thi aankhein
aankhon se gujarata huwa muskaan ka saaya
shaayad meri khaamoshi ne hai keh diya tumse
woh raaj jo main tumse kabhi keh nahi paaya
[annan faanan hua kya se kya
mein jaanemaan hua kya se kya]2
dhadka dhadka dhadka sa dil
kheta hai yeh fasana
tadpa tadpa tadpa sa dil
chahe tere pass aana
annan faanan hua kya se kya
yeh jaanemaan hua kya se kya
dhadka dhadka dhadka sa dil
kheta hai yeh fasana
tadpa tadpa tadpa sa dil
chahe tere pass aana
annan faanan hua kya se kya
kal kya hoga, ye mat socho
tum ye dekho, ki shaam ke daaman mein kya hai
madham madham si roshaniyon mein, dhun pe machalate jismon par halki si damak
lehraati huyi sandal baahein
balkhaati huyi resham julfein
yeh ang ang, ye jhalak jhalak, sheeshon ki khanak
sheeshon ko chhute naazuk labj, jinme shaam ki surkhi hai
hirani si vaishi aankhon mein, anjaane se paigaam basein
yeh dekhke inko behake to ilzaam kise
in lamhon ke pyaalon mein jitni masti hai
saari ki saari tum pi lo
is shaam ko ji bharke jilo
kal jo bhi hoga dekhenge
teri mohabbat hi
meri parastish hai
meri tu ho jaaye
meri yeh koshish hai
sun le meri tamana
tumhe meri hi baana
aye meri neelam pari
dekh meri yeh baahen
dekh le yeh nigaahen
hai kitni pyaar bhari
dhadka dhadka dhadka sa dil
kheta hai yeh fasana
tadpa tadpa tadpa sa dil
chahe tere pass aana
annan faanan hua kya se kya
mujhko teri aawaaz se khushboo aati hai
aur khushboo mein rang dikhaayi dete hai
tu jab nahi hai tab bhi tu hai saath mere
milon se chhute hai tujhko haath mere
woh jo teri saanson mein hai ghulein huye
kahin rahoon woh geet sunaayi dete hai
baadal, titli, kaliyaan, lehrein, phool, hawaan
yeh sab tere roop dikhaayi dete hain
main hoon, tera naam hain, teri baatein hain
har pal dohraata tera afsaana hoon
mujhko to abb hosh nahin hain
tu hi bata, sab kehte hain main tera deewaana hoon
dil jise dhoondhe hai
tu wohi dilkash hai
dil jise maange hai
tu wohi mehmash hai
tujko ek din hai pana
dil ka yeh hai tarana
har subah har shaam hai
tujko hi yaaad karna
teri hi baat karna
mera yehi kaam hai
dhadka dhadka dhadka sa dil
kheta hai yeh fasana
tadpa tadpa tadpa sa dil
chahe tere pass aana
annan faanan hua kya se kya
mein jaanemaan hua kya se kya
dhadka dhadka dhadka sa dil
kheta hai yeh fasana
tadpa tadpa tadpa sa dil
chahe tere pass aana