Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Ab Kaha Jaye Hum, Ye Bata Aye Zameen - अब कहाँ जाएँ हम ये बता ऐ ज़मीं
ab kahan jayen hum ye bata aye zameen
is jahan mein to koi hamara nahin
is jahan mein to koi hamara nahin
apne saye se bhi log darne lagey
ab kisiko kisi par bharosa nahin
ab kisiko kisi par bharosa nahin
ab kahan jayen hum
hum ghar-ghar jate hain ye dil dikhlate hain
par ye duniyawale hum ko thukrate hain
hum ghar-ghar jate hain ye dil dikhlate hain
par ye duniyawale hum ko thukrate hain
raste mit gaye manzilein kho gayi
ab kisi ko kisi par bharosa nahin
ab kahan jayen hum
nafrat hai nigahon mein
vehshat hai nigahon mein
ye kaisa zeher phaila duniya ki hawaon mein
nafrat hai nigahon mein vehshat
hai nigahon mein
ye kaisa zeher phaila duniya ki hawaon mein
pyar ki bastiyan khaq hone lagi
ab kisi ko kisi par bharosa nahin
ab kahan jayen hum
har sans hai mushkil ki har jaan hai ek moti
bazar mein par inki ginti hi nahin hoti
har sans hai mushqil ki har jaan hai ek moti
bazar mein par inki ginati hi nahin hoti
zindagi ki yahan koi keemat nahin
ab kisi ko kisi par bharosa nahin
ab kisi ko kisi par bharosa nahin
ab kahan jayen hum ye bata aye zameen
is jahan mein to koi hamara nahin
is jahan mein to koi hamara nahin
ab kahan jayen hum
Comments for lyrics of song "Ab Kaha Jaye Hum, Ye Bata Aye Zameen"
aceji on Thursday, April 05, 2012 Nope. Maanaji sang joomta mausam, chham chham baje repayaliya, suraj zara aa pass aa, meri bhens ko danda and so on.
tubepipevision on Friday, September 03, 2010 I saw this song on video for the first time. I heard this song many times
but only saw today how Actor Asrani looked in 1958. This song was the first
appearance of him on screen. He can be seen among the praying boys, front
row, 2nd from center (appearing at 0.55-1.10, then 2 times more). I recall
this information from a radio program which he presented long back on
Vividh Bharti, around the time when his movie "Chala Murai Hero Ban ne" was
released.
ursaheli on Friday, August 29, 2008 Shammi Kapoor's association with Shankar Jaikishan began unspectacularly
with Ujala (1959). Shammi's newfound flamboyance as a successful star
matched Jaikishan's, and this explained their instant rapport and enduring
association, their first two popular songs, 'Jhoomta mausam mast mahina...'
(Manna Dey and LataJi) and 'Ab kahaan jaye Hum' Manna Dey stands out
because of his deep voice. Very nice song Suhanee, thanks for the wonderful
upload:)
MyKaempfer on Friday, January 11, 2013 But in the original gramophone record (which is my only source of
knowledge, as I have the entire Hindi films collection from 1940-1990), the
name of Shaillendra ji is written. In this film, Hasrat ji wrote the songs
"Tera jalwa jisne dekha", "O mora naadan balma" and "Jhoomta mausam mast
mahina". They never wrote any song "together"; they used to distribute the
songs among themselves.
mastkalandr on Wednesday, February 01, 2012 @mittalrajesh1 ..aapne sach kaha..,na jane kahan kho gaye wo nayab,apne
kaam ke prati samarpit fankar ..aaj aadhi sadi , lagbhag 70 baraso baad bhi
unke dwara rachit geeton ko ham sab manra mugda hokar sunte hai aur baar
baar sun ne par bhi dil nahi baharta.. Un amar fankaron ko hamara salam...
Thanks for sharing my small tribute...