Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Ab Ye Bata Jaye Kaha, Kismat Ke Thukraye Hue - अब ये बता जाये कहाँ, किस्मत के ठुकराये हुए
ab ye bata jaye kaha kismat ke thukraye huye
gam se ghabraye huye jine se uskaye huye
ab ye bata jaye kaha
raasta anjan manzil ka pata kuchh bhi nahi
apni raah me andhere ke siva kuchh bhi nahi
gam ke hai ghanghor baadal dur tak chaye huye
ab ye bata jaye kaha ye bata jaye kaha
ab ye bata jaye kaha
apne armano ka lutta karwa dekha kiye
aashiya jalta raha hum bejuba dekha kiye
chand aasu rah gaye palko pe tharraye huye
ab ye bata jaye kaha ye bata jaye kaha
ab ye bata jaye kaha
kya yahi duniya hai ae duniya ke rakhwale bata
kya yahi insaaf hai ae aasma wale bata
ji rahe hai sekado jine se sharmaye huye
ab ye bata jaye kaha ye bata jaye kaha
ab ye bata jaye kaha
ab ye bata jaye kaha kismat ke thukraye huye
gam se ghabraye huye jine se uskaye huye
ab ye bata jaye kaha
Comments for lyrics of song "Ab Ye Bata Jaye Kaha, Kismat Ke Thukraye Hue"
Riaz Ali on Thursday, February 10, 2011 kisi ko ghar se nikaltey hi mil gai manzil
koi hamari tarah umr bhar safar me raha.
TheDeepakp on Friday, October 25, 2013 cast: Ulhas, Kishore Kumar, Jayant, Leela Mishra, Chand Usmani, Smriti
Biswas Singer: Asha Bhonsle, Kishore Kumar Lyricist: Jaan Nisar Akhtar
Music Director: O P Nayyar Film Director: A.R. Kardar
56riazali on Thursday, February 10, 2011 kisi ko ghar se nikaltey hi mil gai manzil
koi hamari tarah umr bhar safar me raha.
Asghar Ali on Friday, November 01, 2013 Thanks for comments. I am not so good in english so I am writing in urdu.
Main dil ki gehraion se aap ki izzat karta hoon aur app ka shukria ada
karta hoon. Mujhe bohat khushi hui ke aap jaise insaan ne is ko like kia.
prabhakara rao Edara on Tuesday, September 23, 2014 Namasthe Akbar Ali Sahab ! Aap ne behatareen gana pesh kiyen hain.
Dhanyawad/Shukriya