Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Ajab Tori Duniya He More Raama - अजब तोरी दुनिया हे मोरे रामा
ajab tori duniya ho more raama
ajab tori duniya ho more raama
qadam qadam dekhi bhul bhulaiyaa
qadam qadam dekhi bhul bhulaiyaa
gazab tori duniya ho more raama
gazab tori duniya ho more raama
gazab tori duniya ho more raama
koyi kahe jag jhutha sapna paani ki bulabuliya
ho paani ki bulabuliya
har kitaab me alag alag hai is duniya ka huliya
ho is duniya ka huliya
sach maano ya isako jhuthi maano
sach maano ya isako jhuthi maano
bedhab tori duniya ho more raama
ajab tori duniya ho more raama
ajab tori duniya ho more raama
parabat kaate saagar paate mahal banaaye hamne
ho mahal banaaye hamne
patthar pe bagiya laharaayi phul khilaaye hamne
ho phul khilaaye hamne
ho ke hamaari huyi na hamaari
ho ke hamaari huyi na hamaari
alag tori duniya ho more raama
ajab tori duniya ho more raama
ajab tori duniya ho more raama
daya dharam sab kuchh bikta hai log lagaaye boli
ho log lagaaye boli
mushkil hai ham jaiso ki khaali hai jinki jholi
ho khaali hai jinki jholi
jab tere bando ki jaan bike na
jab tere bando ki jaan bike na
hai tab tori duniya ho more raama
ajab tori duniya ho more raama
Comments for lyrics of song "Ajab Tori Duniya He More Raama"
Drdb1909 on Wednesday, May 19, 2010 The genius of Salil Choudhry and Bimal Roy.