Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Are Chhote Aur Bade Kaa, Insaaf Kahaan Kaa Hai - अरे छोटे और बड़े का, इन्साफ कहाँ का है
are chhote aur bade ka ab to
hua purana qissa
are duniya ki jaagir hai sabaka
ek baraabar hissaa
ek padosi raat ko soye aur dusara roye
to insaaf kahan ka hai
ye insaaf kahan ka hain
ye insaaf kahan ka hain
are kaho agar insaan kisi ki
raah me kaante boye
to insaaf kahan ka hain
ye insaaf kahan ka hain
ye insaaf kahan ka hain
banaya maalik ne sabke liye hain
chaand sitaaro ko
to phir kyaa haq hai
ha to phir kya haq hai bande ko
kare takasim baharo ko
kare takasim baharo ko
sab ke baag bagiche par
jab ek kaa kabza hoye
to insaaf kahaan kaa hain
ye insaaf kahaan kaa hain
ye insaaf kahaan kaa hain
bana hai shah khazane ka
ye hai insaan ki nadani
bataao kitana kha lega
bataao kitana kha lega
ye dana aur hawa paani
ye dana aur hawa paani
are paise jaisi chiz ki khaatir, koi sharafat khoye
to insaaf kahaan kaa hain
ye insaaf kahaan kaa hain
ye insaaf kahaan kaa hain
sabhi ek daal ke panchhi hain
sabhi kaa ek thikaanaa hai
lagao ek sath
lagao ek sath nara, ki ye janta ka zamana hai
ye janta kaa zamana hai
koi kisi ka beej chura kar apani kheti boye
to insaaf kahaan kaa hain
ye insaaf kahaan kaa hain
ye insaaf kahaan kaa hain
ek padosi raat ko soye aur dusraa roye
to insaaf kahaan kaa hai
ye insaaf kahaan kaa hain
ye insaaf kahaan kaa hain
Comments for lyrics of song "Are Chhote Aur Bade Kaa, Insaaf Kahaan Kaa Hai"
Jagjit Singh Ishar on Tuesday, August 26, 2014 Nice & sweet song.
RealMusicKing on Saturday, December 10, 2011 All Lyrics by: Rajendra Krishan