Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Babul Bhi Roye Beti Bhi Roye - बाबुल भी रोये बेटी भी रोये
baabul bhi roye beti bhi roye maa ke kaleje ke tukde hoye
baabul bhi roye beti bhi roye maa ke kaleje ke tukde hoye
kaisi anokhi reet ye haay koyi janam de koyi le jaaye
baabul bhi roye beti bhi roye maa ke kaleje ke tukde hoye
baabul bhi roye beti bhi roye
itne laadon se jisko paala aaj usi ko ghar se nikaala
itne laadon se jisko paala aaj usi ko ghar se nikaala
ham kya chiz hain raaje mahaaraaje
beti ko ghar mein rakh na paaye
baabul bhi roye beti bhi roye maa ke kaleje ke tukde hoye
baabul bhi roye beti bhi roye
pichhe rah gaya pyaar puraana aage jeevan path anjaana
pichhe rah gaya pyaar puraana aage jeevan path anjaana
saath duwayein le ja sabki aur to koi saath na aaye
baabul bhi roye beti bhi roye maa ke kaleje ke tukde hoye
baabul bhi roye beti bhi roye
bhaai bahan ki bichhdi jodi rah gayi dil mein yaadein thodi
bhaai bahan ki bichhdi jodi rah gayi dil mein yaadein thodi
jaane ye taqdir nigodi phir kab bichde meet milaaye
baabul bhi roye beti bhi roye maa ke kaleje ke tukde hoye
kaisi anokhi reet ye haay koyi janam de koyi le jaaye
baabul bhi roye beti bhi roye maa ke kaleje ke tukde hoye
baabul bhi roye beti bhi roye
ye haathon ki chand lakiren inmein likhin sabki taqdirein
ye haathon ki chand lakiren inmein likhin sabki taqdirein
kaagaz ho to phaad ke phenkun kaagaz ho to phaad ke phenkun
hath ka likha kaun mitaaye
baabul bhi roye beti bhi roye maa ke kaleje ke tukde hoye
kaisi anokhi reet ye haay koyi janam de koyi le jaaye
baabul bhi roye beti bhi roye maa ke kaleje ke tukde hoye
baabul bhi roye beti bhi roye
Comments for lyrics of song "Babul Bhi Roye Beti Bhi Roye"
goyal dv on Friday, October 12, 2012 halanki ye hamare samaj ke sanskar hei jo beti ko har hal mey vida karna
padta hei. par sachai ye hei ki vida betey ko karna chahiye. kayonki beti
kabhi parai nahi hoti parai hone ke bavjood bhi beti ke dil mey maa baap ke
prati mamta or paya rehta hei jbki beta sadi ke bad hakikat mey ( such mey
) hee paraya ho jata hei. - goyal-calicut-09846082339
pikamiasa on Saturday, October 27, 2012 Some parents just dnt wan their daughthers to gt married..hmmm...
A.R. Nigam on Saturday, February 08, 2014 heart touchimg songs keep it up kavita ji
sarthak Garg on Friday, February 21, 2014 Very heart touching song I like this very much
nihal panwar on Friday, August 23, 2013 this song is very nice and hart taching song