Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Baanki Adaon Waale Humko - बांकी अदाओ वाले हमको
banki adao wale humko banki adao wale humko
lutke khud aaram kare saf mukar jaye dil lekar
saf mukar jaye dil lekar
saf mukar jaye dil lekar dekho kaise kam kare
banki adao wale humko lutke khud aaram kare
ya rab kaise hai ye aashiq ya rab kaise hai ye aashiq
raz ki bate aam kare aap to ruswa hai duniya me
aap to ruswa hai duniya me
aap to ruswa hai duniya me humko bhi badnaam kare
ha banki adao wale humko lutke khud aaram kare
pathar ka dil rakhte hai ye phul se najuk tan wale
pathar ka pathar ka rakhte hai rakhte hai dil dil dil dil
ye phul se najuk tan wale ye phul se najuk tan wale
pathar ka dil rakhte hai ye phul se najuk tan wale
hote hai chalak bade ye bholi si chitwan wale
ye bholi si chitwan wale ye bholi si chitwan wale
taz rakhte hai na talwar koi phir bhi khali na jaye war koi
inki har ek nigah katil hai aisi katil zamana bismil hai
kabhi mare muskurahat se kabhi aanchal ki sarsarahat se
roz ye kattle aam karte hai aur marne wale khushi se marte hai
aur marne wale khushi se marte hai
khushi se marte hai khushi se marte hai
aaye koi na ilzam in par aaye koi na ilzam in par
aise kam tamam kare
pathar dil kahte ho humko dil tumne dekha hi nahi
pathar ka pathar ka kahte ho kahte ho dil dil dil dil
ha dil tumne dekha nahi tumne dil haye dekha nahi
pathar dil kahte ho humko dil tumne dekha hi nahi
husn ki fitrat ko shyad tum logo ne samjha hi nahi
tum logo ne samjha nahi tum logo ne samjha nahi
jisko hum dil se pyar karte hai jaan us par nisar karte hai
ke wafao ka naam humse hai pyar zinda hamare dam se hai
humko katil samjh liya tumne tauba tauba ye kya kiya tumne
hum to khud dil se zakham khate hai
aur zakham khakar bhi muskarate hai
zakham khakar bhi muskarate hai muskarate hai muskarate hai
phir bhi ye ilzam hai hum par phir bhi ye ilzam hai hum par
ke hum kattle aam kare husn hai bewafa zamane me
hai yahi likha har fasane me in fasano ki kya hakikat hai
jhuti bate hai jhuti tohamat hai husn to beniyaz hota hai
ji nahi dil nawaz hota hai ishq ki jaanisariya dekho
husn ki bekarariya dekho husn pe ishq jaan deta hai
ishq ko husn man deta hai ishq ko husn se mohabbat hai
mohabbat hai mohabbat hai
phir uljhane ki kya jarurat hai aao phir milghulkar hum tum
ek duje ka naam kare na ruswa tum hum ko karo na
na ruswa tum hum ko karo na na ruswa tum hum ko karo na
na hum tum ko badnaam kare na na hum tum ko badnaam kare