Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Basti Basti Parbat Parbat, Gate Jaye Banjara - बस्ती बस्ती पर्वत पर्वत, गाते जाए बंजारा
basti basti parvat parvat, gaate jaye banjara
lekar dil ka ektara
basti basti parvat parvat, gaate jaye banjara
lekar dil ka ektara
pal do pal ka sath hamara
pal do pal ki yaari
aaj ruke to, kal karni hai chalne ki taiyari
basti basti parvat parvat, gaate jaye banjara
lekar dil ka ektara
basti basti parvat parvat, gaate jaye banjara
lekar dil ka ektara
kadam kadam par honi baithi, apna jaal bichhaye
kadam kadam par honi baithi, apna jaal bichhaye
is jivan ki raah me jane
kaun kaha rah jaye, kaun kaha rah jaye
basti basti parvat parvat, gaate jaye banjara
lekar dil ka ektara
basti basti parvat parvat, gaate jaye banjara
lekar dil ka ektara
dhan daulat ke pichhe kyu hai, ye duniya diwani
yaha ki daulat yaha rahegi, sath nahi ye jani
basti basti parvat parvat, gaate jaye banjara
lekar dil ka ektara
basti basti parvat parvat, gaate jaye banjara
lekar dil ka ektara
sone chandi me tulta ho, jaha dilo ka pyar
aansu bhi bekar waha par, aahe bhi bekar
basti basti parvat parvat, gaate jaye banjara
lekar dil ka ektara
basti basti parvat parvat, gaate jaye banjara
lekar dil ka ektara
duniya ke bazar me aakhir
chahat bhi vayapar bani
duniya ke bazar me aakhir
chahat bhi vayapar bani
tere dil se unke dil tak, chandi ki diwar bani
chandi ki diwar bani
basti basti parvat parvat, gaate jaye banjara
lekar dil ka ektara
basti basti parvat parvat, gaate jaye banjara
lekar dil ka ektara
hum jaise ke bhag me likha
chahat ka vardan nahi
hum jaise ke bhag me likha
chahat ka vardan nahi
jisne humko janam diya
wo patthar hai bhagwan nahi
wo patthar hai bhagwan nahi
wo patthar hai bhagwan nahi
basti basti parvat parvat, gaate jaye banjara
lekar dil ka ektara
basti basti parvat parvat, gaate jaye banjara
lekar dil ka ektara
murakh hai jo dhan daulat ki
chinta karte rahte hai
do dil mil jaye jis ghar me
swarg usi ko kahte hai
basti basti parvat parvat, gaate jaye banjara
lekar dil ka ektara
basti basti parvat parvat, gaate jaye banjara
lekar dil ka ektara
Comments for lyrics of song "Basti Basti Parbat Parbat, Gate Jaye Banjara"
rumahale on Saturday, December 01, 2012 pal do pal kaa saath hamaaraa pal do pal kii yaarii aaj ruke to kal karnii
hai chalne kii taiyaarii dhan-daulat ke piichhe kyo.n hai ye duniyaa
diiwaanii yahaa.n kii daulat yahii.n rahegii saath nahii.n ye jaanii
sone-chaa.ndii mej.n tultaa ho jahaa.n dilo.n kaa pyaar aa.nsuu bhii bekaar
vahaa.n par aahe.n bhii bekaar duniyaa ke baazaar mei.n aakhir chaahat bhii
vyopaar banii tere dil se unke dil tak chaa.ndii kii diiwaar banii
bastii-bastii parvat-parvat gaataa jaa_e ba.njaaraa
rumahale on Saturday, December 01, 2012 Well crafted simple words that carry rich meaning - relevant even after
fifty seven years - inspirational song - atleast for me - have always
adored - think like humming whereever I be. Hats off to Sahir Ludhianvi and
others who made this superb creation. Thank you for keeping memories alive
by excellent video presentation with full song.
rumahale on Saturday, December 01, 2012 Very interesting - I too had observed while viewing the clip - as you had
mentioned of S D Batish in the introduction I kept quiet - I am also coming
across it only today, and, totally ignorant about the singer - even the
lyrics book does not have these lines. Let us wait for resource person(s).
Thanks again.
Ahsan Habib on Saturday, November 10, 2012 Darun gan, onek dhonnobad Bulbul Vai. Ami duti gan khujhchhi. Dekhun to
apnar collection e achhe kina: 1. Nondo ki chhayo mein- Talat Mahmud. Ei
gan ti 'Ghumero chhay chadero chokhe' gantir surer upor rochito o gito
hoyechhilo. 2. Jab vi chhalenge sawan ki jhoke, kali ghata tujhe sune na
degi- Mehedi Hassan Film : Bajuband. (Unreleased movie) Ei gantir sure
Mehedi Hasan Raja Sahed Movie te geyechhilen : Dhako joto na noyon Please
ektu khuje dekhben. Bohu din dhore khujchhi.
crazyoldsongs on Saturday, December 01, 2012 i remember listening to it carefully in the afternoon vividh bharti
programme as a small school going child , in my maternal grandmother's
house during summer vacations . i was very impressed and since then have
always liked this song ! that memory has always stayed with me . sahir's
great poetic abilities can be visible once again in his portayal of social
problems . thank you for reviving old memories !