Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Bhaiya Mere Ram - भईया मेरे राम
bhaiya mere ram jaise bhabhi hai sita
inke vachan jaise ramayan aur geeta
inke vachan jaise ramayan aur geeta
man mandir me ho
man mandir me bithakar
kyu na kare inki puja
bhaiya mere ram bhabhi sita
bhaiya mere ram bhabhi sita
bhaiya mere ram jaise bhabhi hai sita
inke vachan jaise ramayan aur geeta
inke vachan jaise ramayan aur geeta
tha janam to diya humko maa baap ne
o tha janam to diya humko maa baap ne
bhaiya bhabhi ne pala hume
o koi kaanta kabhi bhi na chubhne diya
phulo jaise sambhala hume
pyar hoga na kam kaise bhulenge hum
bhaiya bhabhi ke upkar ko
bhaiya bhabhi ke upkar ko
bhaiya mere ram bhabhi sita
bhaiya mere ram bhabhi sita
humko munh maanga vardan inse mila
humko munh maanga vardan inse mila
mili jivan ki sari khushi
kyu na bhagwan mane inhe hum yaha
di inhone hume zindagi
ganga jamuna yaha inke charno me hai
kyu na puje hum is pyar ko
kyu na puje hum is pyar ko
bhaiya mere ram bhabhi sita
bhaiya mere ram bhabhi sita
jo tha karna inhe wo inhone kiya
jo tha karna inhe wo inhone kiya
farz apna nibhayenge hum
inki aankho ne dekhe jo sapne yaha
sach unhe kar dikhayenge hum
pyar se ghar koi swrag kaise bane
hum bata denge sansaar ko
hum bata denge sansaar ko
bhaiya mere ram jaise bhabhi hai sita
inke vachan jaise ramayan aur geeta
inke vachan jaise ramayan aur geeta
man mandir me bithakar
kyu na kare inki puja
bhaiya mere ram bhabhi sita
ha bhaiya mere ram bhabhi sita
ha bhaiya mere ram bhabhi sita
ha bhaiya mere ram bhabhi sita