Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Bhalaa Hai Bura Hai - भला है बुरा है
bhala hai bura hai jaisa bhi hai
mera pati mera devta hai
bhala hai bura hai jaisa bhi hai
mera pati mera devta hai
mere devta ko kuch na kaho
mere devta ko kuch na kaho
mera devta to mera devta hai
bhala hai bura hai jaisa bhi hai
mera pati mera devta hai
tapasya to hoti hai sabki barabar
tapasya to hoti hai sabki barabar
magar sabko bhagvan milte kaha hai
mali to karta hai rakhwali sabki
sabhi ful duniya mei khilte kaha hai
sabhi ful duniya mei khilte kaha hai
kya bhed hai kisko pata hai
mera pati mera devta hai
bhala hai bura hai jaisa bhi hai
mera pati mera devta hai
vahi meri duniya vahi mera jivan
vahi meri bhakti vahi meri puja
vahi meri naiya ka har pal sahara
nahi mera uske siva koi duja
magar apni taqadir ko kya kahu mai
dharu bhi to iljam kis par dharu mai
kahi khawb sachhe kahi tuta sapana hai
hai duniya me sabka nasib apna apna
hai duniya me sabka nasib apna apna
jaha bhi vo hai jaisa bhi hai
tera pati tera devta hai
jaha bhi vo hai jaisa bhi hai
tera pati tera devta hai
teri bhakti mei shakti hai itni ke ek din
jo patthar bhi hoga pighal jayega vo
kisi apsara ki bhi baho me hoga
to thukra ke usko chala ayega vo
mera vada raha ponch de apne aansu
vada raha ponch de apne aansu
tere kadmo me mai khinch laungi usko
wo uski ada hai ye meri ada hai
bahla hai bura hai jaisa bhi hai
mera pati mera devta hai
mere devta ko kuch na kaho
mera devta to mera devta hai
bahla hai bura hai jaisa bhi hai
tera pati tera devta hai
tera pati tera devta hai
tera pati tera devta hai
tera pati tera devta hai