Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Brahma O Brahma (Paintal) - ब्रम्हा ओ ब्रम्हा
brahma o brahma deva o deva
brahma o brahma deva o deva
brahma o brahma deva o deva
dede ek nari sundar si
brahma o brahma deva o deva
dede ek nari sundar si
mujhe dulha bana meri shadi kara
din raat mai tere gun gaaunga
biwi ke bin nahi to ek din
mai kha ke zahar mar jaauga
brahma o brahma deva o deva
dede ek nari sundar si
hirani si chaal ho, resham se baal
resham se baal ho phulo se gaal
dekhe ye jahan hoke hairan
sun o bhagwan
chanchal ho aisi ho pariyo jaisi
mere hone vale bacho ki amma
brahma o brahma deva o deva
dede ek nari sundar si
brahma o brahma deva o deva
brahma o brahma deva o deva
teri vinti sun li maine sun o brahmchari
tere liye mai le ke aaya, ye sundar nari
teri vinti sun li maine sun o brahmchari
tere liye mai le ke aaya, ye sundar nari
ye ang sang tere dolegi
kabhi aage se nahi bolegi
tu dekhta hi rah jayega
jab gori ghunghat kholegi
khub karegi teri sewa, praano se pyari
tere liye mai le ke aaya, ye sundar nari
jai ho prubhu
jab tak ji jaan hai bhagwan
tujhko yaad karunga
ek din me sau bar
mai tera dhanyavaad karunga
brahma o brahma deva o deva
brahma o brahma deva o deva
gori o gori jara ghunghat ko khol
jara mukh se to bol
gori ghunghat to khol
jara mukh se to bol
mai hu tera gulam
kya hai ri tera naam
bol kya hai tera naam
apne pritam ke sath nahi ki ek baat
tere sir ki kasam, aisi bhi kya sharam
ari khana kharab, kuch to de jawab
hai tu hai gungi are are, chal hat chal hat
o bhagwan karte ho majak
apne bhagato se
ye to mati ka but hai, ise jaan de de
is bejuban ko juban de de
muh se kuch na kahe, to achchi bat hai
aurat chup hi rahe to, achchi bat hai
muh se kuch na kahe, to achchi bat hai
aurat chup hi rahe to, achchi bat hai
bhagat batuni aurton ke sath
mardo ka gujara asambhav hai
iski chinta aap mat karo parbhu
vo chhod do mujh par mai dekh lunga
acha bhagat jaise tere sanjog
ja apne karmo ko bhog
hat chhodo balam mere fute karam
hat chhodo balam mere fute karam
kaisi shadi hui barbadi hui
nayi sarri nahi, nayi gadi nahi
mera gajara la, mera kajara la la
manga kurte do chaar
manga sone ka haar
manga kurte do chaar
manga sone ka haar
karenge pyar kal aaj hotal me chal
sair mujhko kara koi picture dikha
ye sab ager nahi ho sakta
to mujhe de de talak
chabhi ghar ki sambhal
mai chali vapas bhopal
brahma o brahma deva o deva
kaisi ye nari sundar si
brahma o brahma deva o deva
kaisi ye nari sundar si
jaan meri bacha ise tu chup kara
din raat mai tere gun gaauga
gungi bhali thi juba is ki chali to
mai kha ke zahar mar jaunga
brahma o brahma deva o deva
kaisi ye nari sundar si
brahma o brahma deva o deva
brahma o brahma deva o deva
aaj usko bhi dekh leti hu
dunia ka nirman to mai kar sakta hu
khali jholi motio se bhar sakta hu
mai tufa ko rok du
mai barkha ko tham lu
parantu is agani ko
mand nahi mai kar sakta
aurat ka muh band nahi mai kar sakta
bachao bachao
aurat ka muh band nahi mai kar sakta
Comments for lyrics of song "Brahma O Brahma (Paintal)"
AJ MISTRY on Thursday, July 15, 2010 Perfact song for culture show as its musical comedy .
hamekasia on Friday, June 10, 2011 lol I bet he regrets his wish now...great song!
honeymonster on Saturday, January 16, 2010 lol...very cool song...
NewEye2World on Sunday, August 21, 2011 Funny and nice