Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Chand Kisi Din - कागज पे कलम तेरा
kagaz pe kalam tera
ruk ruk ke chala hoga
Jab pehale pahel tune
khat mujhko likha hoga
chand kisi din puchh na baithe
tumse dil ki baat
chand kisi din puchh na baithe
tumse dil ki baat
chhat par aakar khat likhati ho
chhat par aakar khat likhati ho
kisko saari raat
chand kisi din puchh na baithe
tumse dil ki baat
yaado ki shabanam se bhigi
lagati hai tanhaai
yaado ki shabanam se bhigi
lagati hai tanhaai
jab jab likha naam tumhara
kalam se khushbo aayi
kagaz par hoti ho jaise
kagaz par hoti ho jaise
phulo ki barsat
chand kisi din puchh na baithe
tumse dil ki baat
shamma bujha de dete the pehale
phir khat likhate the
shamma bujha de dete the pehale
phir khat likhate the
diwaro ke saaye se bhi
darte rehate the
jaane kya kya socha karte
jaane kya kya socha karte
dil par rakh kar haath
chand kisi din puchh na baithe
tumse dil ki baat
khidaki khole jhaank raha hai
baahar ka sannata
khidaki khole jhaank raha hai
baahar ka sannata
shaam isi me beet gayi hai
phir likha kaanta
raat isi me kat gayi saari
raat isi me kat gayi saari
reh gayi dil ki baat
chand kisi din puchh na baithe
tumse dil ki baat
chehra bhi ab yaad nahin hai
jaane kaisa thaa
chehra bhi ab yaad nahin hai
jaane kaisa thaa
humne jisko pyar kiya tha
shayar jaisa thaa
band lifafo me aati thi
band lifafo me aati thi
gazalo ki saugaat
chand kisi din puchh na baithe
tumse dil ki baat
chand kisi din puchh na baithe
tumse dil ki baat
chhat par aakar khat likhati ho
chhat par aakar khat likhati ho
kisko saari raat
chand kisi din puchh na baithe
tumse dil ki baat
tumse dil ki baat
tumse dil ki baat