Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Charo Taraf Andher Macha Hai, Kaisa Kudrat Ka Kanun - चारो तरफ अंधेर मचा है, कैसा कुदरत का कानून
charo taraf andher macha hai
charo taraf andher macha hai
pani mehanga sasta khun
koi bataye ye hai re kaisa kudrat ka kanun
kudrat ka kanun
charo taraf andher macha hai
pani mehanga sasta khun
koi bataye ye hai re kaisa kudrat ka kanun
kaisa kudrat ka kanun
kisne kiya apradh yaha par kon bana hai bandhi
kisne kiya apradh yaha par kon bana hai bandhi
upar wale teri duniya itni ho gai gandi re
gandi itni ho gai gandi, dekh raha hai sabka
tamasha kudrat ka kanun, kudrat ka kanun
charo taraf andher macha hai
pani mehanga sasta khun
koi bataye ye hai re kaisa kudrat ka kanun
kaisa kudrat ka kanun
aabru lute nari ki ye ijjat ke rakhwale
aabru lute nari ki ye ijjat ke rakhwale
mere malik kaise kaise paapi jag ne paale
paap ke hatho me hai khilona
kudrat ka kanun, kudrat ka kanun
charo taraf andher macha hai
pani mehanga sasta khun
koi bataye ye hai re kaisa kudrat ka kanun
kaisa kudrat ka kanun
haar huyi sachchayi ki juth ki ho gayi jit
haar huyi sachchayi ki juth ki ho gayi jit
aaj tere sansar ki sari ulti ho gayi rit
re malik ulti ho gayi rit, aisa lagta ho gaya
ulta kudrat ka kanun, kudrat ka kanun
charo taraf andher macha hai
pani mehanga sasta khun
koi bataye ye hai re kaisa kudrat ka kanun
kaisa kudrat ka kanun
abla ki jo ijjat lute uske sar pe chamke taz
aur sitam kya rah gaya baki
tere jag me aaj re malik tere jag me aaj
kab tak yuhi khayega dokha
kudrat ka kakanun, kudrat ka kakanun
charo taraf ander macha hai
pani mahga sasta khun
koi bataye ye hai re kaisa kudrat ka kanun
kaisa kudrat ka kanun
jisko chuna tha jiwan sathi aaj vo nikla katil
jisko chuna tha jiwan sathi aaj vo nikla katil
zulam-o-sitam ki paap havas ki
ye hai aakhari manjil
zulam-o-sitam ki paap havas ki
ye hai aakhari manjil, ye hai aakhari manjil
ye hai aakhari manjil
le ke rahega ab to badla
kudrat ka kanun, kudrat ka kanun
charo taraf ander macha hai
pani mahga sasta khun
koi bataye ye hai re kaisa kudrat ka kanun
kaisa kudrat ka kanun
kuch yaro ne milke kiya hai
aaj paap ka naash, aaj paap ka naash
aaj mera dil bol utha bahaduro shabaash
bahaduro shabaash
duniya ke kanun se ucha kudrat ka kanun
kudrat ka kanun
duniya ke kanun se ucha kudrat ka kanun
duniya ke kanun se ucha kudrat ka kanun
ucha kudrat ka kanun