Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Dekhiye Huzur Mujhse Rah Ke Dur Dur - देखिये हुज़ूर मुझसे रह के दूर-दूर
dekhiye huzur mujhse rah ke dur dur
kheliye na dil e beqarar se
dekhiye huzur mujhse rah ke dur dur
kheliye na dil e beqarar se
pyar ka jawab dijiye pyaar se
chodiye ji hath kijiye dur hi se baat
kam lijiye thode intazar se
baaj aaye ham to aise pyaar se
dekhiye huzur mujhse rah ke dur dur
kheliye na dil e beqarar se
pyar ka jawab dijiye pyaar se
itani berukhi hamse kisliye, dil diya hai kya hamne isaliye
itani berukhi hamse kisliye, dil diya hai kya hamne isaliye
aap to janab had se badh chale, bato bato me pad gaye gale
chal diye kaha baat suniye meharaba
baithine to do ghadi qaraar se
pyar ka jawab dijiye pyaar se
chodiye ji hath kijiye dur hi se baat
kam lijiye thode intazar se
yu hame agar dekh le koyi, sochiye zara kya kahe koyi
yu hame agar dekh le koyi, sochiye zara kya kahe koyi
koyi kuch kahe kahane dijiye, pyaar ke hai din pyaar kijiye
jaiye janab kaha ham hai kaha aap
phul kyo uljhane lage khar se
baaj aaye ham to
dekhiye huzur mujhse rah ke dur dur
kheliye na dil e beqarar se
pyar ka jawab dijiye pyaar se
aapki qasam sune to zara, beqarar dil kah raha hai kya
aapki qasam sune to zara, beqarar dil kah raha hai kya
dil ki baat ka aitabar kya, aapse bura dil hai aapka
aapko nahi jo dil ki baat par yaqi
to puch lijiye mausam e bahaar se
pyar ka jawab dijiye pyaar se
chodiye ji hath kijiye dur hi se baat
kam lijiye thode intazar se
baaj aaye ham to aise pyaar se
dekhiye huzur mujhse rah ke dur dur
kheliye na dil e beqarar se
pyar ka jawab dijiye pyaar se
Comments for lyrics of song "Dekhiye Huzur Mujhse Rah Ke Dur Dur"
RealMusicKing on Monday, May 24, 2010 This composition is a mixture of O.P. Nayyar and Shankar Jaikishan semi-western copy. Agree?
June G on Monday, May 10, 2010 Good song thanks for sharing.