Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Dil Todne Vale, Tujhe Dil Dhundh Raha Hai - दिल तोड़ने वाले तुझे दिल ढूँढ रहा है
dil todne vale, tujhe dil dhundh raha hai
tujhe dil dhundh raha hai
aavaz de tu kon si nagari me chhupa hai
dil todne vale
tu humko jo mil jaye to hal apna sunaye
khud roye kabhi aur kabhi tujhko rulaye
kabhi tujhko rulaye
wo dag dikhaye jo hame tune diya hai
ai dil ke sahare tujhe dil dhundh raha hai
tujhe dil dhundh raha hai
sine me teri yaad ka tufan utha hai
ai dil ke sahare
dil me to ye hasrat hai tere pas mai aau
nazaro se gira hu to nazar kaise milau
nazar kaise milau
badnam hu, nakam hu, kya mujh me raha hai
ai dil ke sahare, tujhe dil dhundh raha hai
tujhe dil dhundh raha hai
dikhla ke kinara mujhe mallah ne luta
kashti bhi gayi hath se, patvar bhi chhuta
patvar bhi chhuta
ab aur na jane meri taqadir me kya hai
dil todne vale, tujhe dil dhundh raha hai
tujhe dil dhundh raha hai
bechain udhar tu hai, to majbur idhar hum
baithe hai chhupaye huye, ashqo me tera gam
ashqo me tera gam
har chot ubhar aayi hai, har zakhm hara hai
dil todne vale, tujhe dil dhundh raha hai
tujhe dil dhundh raha hai
Comments for lyrics of song "Dil Todne Vale, Tujhe Dil Dhundh Raha Hai"
Shamnad Sirajudeen on Monday, September 24, 2012 DIL TODNE WAALE TUJHE DIL DHOOND RAHA HAI TUJHE DIL DHOOND RAHA HAI AWAAZ
DE TU KAUN SI NAGRI MEIN CHHUPA HAI DIL TODNE WAALE… TU HUM KO JO MIL JAAYE
TO HAAL APNA SUNAAYE KHUD ROYE KABHI AUR KABHI TUJH KO RULAAYE KABHI TUJH
KO RULAAYE WO DAAG DIKHAAYE JO HAMEN TUNE DIYA HAI AYE DIL KE SAHAARE TUJHE
DIL DHOOND RAHA HAI TUJHE DIL DHOOND RAHA HAI SEENE MEIN TERI YAAD KA
TOOFAN UTHA HAI AYE DIL KE SAHAARE
Arshad Kayani on Saturday, November 26, 2011 The use of such simple musical instruments by Naushad shows the true
supremacy of the maestro. He has used the tabla/dholak to carry the song
and Rafi and Lata have made this song into a classic.what more can one
ask..astounding!!!
mabawany on Monday, October 26, 2009 Great song! Excellent lyrics with daunting music and the everlasting voices
of the legendery singers Latajee and Rafi Sahib. Why can't they make songs
like these anymore? Anwar Bawany.
V Balakrishnan on Tuesday, October 06, 2015 Nice Melodious Song sung by legendary Super Singers Lata Mangeskar and
Mohammad Rafi
My tribute to Late Rafi Sahab and Naushad Sahab
Seetha Ramaiah on Wednesday, December 10, 2014 Rafi Jee Ka Awaz aur Naushad Jee Ka soul-stirring violins. Ronaa Aata
Hai.