Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Dukh Sukh Tha Ek Sabka - दुःख सुख था एक सबका
dukh sukh tha ek sabka apna ho ya begaana
ek woh bhi tha zamaana ek yeh bhi hai zamaana
dukh sukh tha ek sabka apna ho ya begaana
ek woh bhi tha zamaana ek yeh bhi hai zamaana
dada hai aate the jab mitti ka ek ghar tha
choron ka koi ghatka na dakuon ka dar tha
khaate the rookhi sookhi sote the neend gehri
shaamein bhari bhari thi aabaad thi dupehri
santosh tha dilon ko maathe pe bal nahi tha
dil mein kapat nahi tha aankhon mein chhal nahi tha
hain log bhole bhale lekin the pyaar wale
duniya se kitni jaldi sab ho gaye ravaana
dukh sukh tha ek sabka apna ho ya begaana
ek woh bhi tha zamaana ek yeh bhi hai zamaana
ab kya waqt aaya taaleem ghar mein aayi
ab kya waqt aaya taaleem ghar mein aayi
taaleem saath apni taaza vichaar laayi
aage rawayaton se badhne ka dhayaan aaya
mitti ka ghar hata to pakka makaan aaya
daftar ki naukri thi tangah ka sahara
maalik pe tha bharosa ho jaata tha guzara
paisa agar chekam tha phir bhi na koi gham tha
kaisa bhara poora tha apna gareeb khana
dukh sukh tha ek sabka apna ho ya begaana
ek woh bhi tha zamaana ek yeh bhi hai zamaana
ab mera daur hai yeh koyi nahi kisi ka
ab mera daur hai yeh koyi nahi kisi ka
har aadmi akela har chehra ajnabee sa
aansoon na muskuraahat jivan ka haal aisa
apni khabar nahi hai maya ka jadoo aisa
paisa hai martaba hai izzat wikar bhi hai
naukar hain aur chaakar bangla hai car bhi hai
ghar paas hai zameen hai lekin sakoon nahi hai
paane ke vaaste kuch kya kya pada gavaana
dukh sukh tha ek sabka apna ho ya begaana
ek woh bhi tha zamaana ek yeh bhi hai zamaana
aye aane wali naslon aye aane wale logon
bhoga hai humne jo kuch woh tum kabhi na bhogo
jo dukh tha saath apne tumse kareeb na ho
peeda jo humne jheli tumko naseeb na ho
jis tarah bheed mein hum zinda rahe akele
woh zindagi ki mehfil tumse na koyi le le
tum jis taraf se guzro mela ho roshni ka
raas aaye tumko mausam ki ruswi ka
hum to sakoon ko tarse tum par sakoon barse
anand ho dilon mein jivan lage suhaana
dukh sukh tha ek sabka apna ho ya begaana
ek woh bhi tha zamaana ek yeh bhi hai zamaana
Comments for lyrics of song "Dukh Sukh Tha Ek Sabka"
Yusuf Mohammed on Friday, October 09, 2015 Great... Sahi farmaya Pankaj ji... Dukh Sukh Tha Ek Sabka, Ek Wo Bhi Tha
Zamana, Ek Ye Bhi Hai Zamana..
Saba Praveen on Sunday, September 20, 2015 kya baat hai wat a heart touching ghazal.itna sukooon .jst owsm
Saba Praveen on Sunday, September 20, 2015 kya baat hai wat a heart touching ghazal.itna sukooon .jst owsm
Hamdan Hussain on Tuesday, November 03, 2015 makhmali awaz sach hi kaha gya hai is gazal ne man moh lea
Salum Salum on Monday, November 02, 2015 life has come to this stage where no one Is for anyone