Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Duniya Ke Mele Bahut Hai - दुनिया के मेले बहुत है
duniya ke mele bahut hai, sukh dukh jhamele bahut hai
ek tu akela nahi hai, jag me akele bahut hai

aansu bade kimti hai, inko naa yu hi giraao
jinke ye aansu bhi sukhe, unke liye muskuraao

ye jindagi ek phool hai, thukara nahi ye bhul hai
maana andhere bahut hai lekin savere bahut hai
ek tu akela nahi hai, jag me akele bahut hai
duniya ke mele bahut hai, sukh dukh jhamele bahut hai
suraj ki jyoti bane hum, aakaash baaho me aaye
mehnat ke moti bane hum, saagar ka moti lajaaye

apne chaman ke hum baagba
apne watan ke hum paasbaa
tufaan ke dhaare bahut hai, phir bhi kinaare bahut hai
ek tu akela nahi hai, jag me akele bahut hai
duniya ke mele bahut hai, sukh dukh jhamele bahut hai
duniya ne jaane kyu loota, meri khushi ka khajana
kiski najar lag gayi jo, bikhra mera aashiyaana

saara shahar hai ajnabi, patjhad huyi ye jindagi
pairo me chhaale bahut hai, par chalne waale bahut hai