Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Ek Chidiya Bina Paar Ki - एक चिड़िया बिना पर की
ek chidiya bina par ki
shahjadi kisi ghar ki
ek chidiya bina par ki
shahjadi kisi ghar ki
bolo wo kaun hain
wo main hi to hu
wo kaun hain
wo main hi to hu
ek chidiya bina par ki
shahjadi nahi maharani hain
sab jane hain pagal siyani hain
kaam ki na kaaj ki dushman anaaj ki
kahe bechari ke pichhe padi ho
are aurat ho ya koi chadi ho
ye fikar jise hain ghar bhar ki
bahar ki bhitar ki
bolo bolo kaun hain
wo main hi to hu
ha kaun hain
wo main hi to hu
bahar bhasan ghar me bhasan
bhasan bina pachta nahi rashan
aaha bhasan bina pachta nahi rashan
ae mano ji mano maa ji ka shashan
dekho na dole unka shashan
wo bijli agar kadki
to khair nahi kisi sar ki
bhala wo kaun hain
wo main hi to hu
kaun hain
wo main hi to hu
aage pichhe koi kuch bhi kahe
wo apni duniya me khoyi rahe
aage pichhe koi kuch bhi kahe
wo apni duniya me khoyi rahe
phul chunti rahe roj baago se
baat karti rahe chand taaro se
jiske ghar jayegi usko rulayegi
kahe kisi ke angana me jayegi
yahi rahegi sabko satayegi
ek ladki phir sar ki
baat kare hain bepar ki
are tej badi mukaddar ki
raunak hain isi ghar ki
bolo wo kaun hai
wo main hi to hu
ha kaun hain
wo main hi to hu
wo main hi to hu
wo main hi to hu