Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Ek Din Hatimtai Se Kisi Ne Puchha - एक दिन हातिमताई से किसी ने पूछा
ek din haatim-e-tai se kisi ne puchha
kyu musibat me giraftaar tu rahata hai sada
dusaro ke liye kyu firata hai maara maara
bola kuch nahi jaanta hu iske siwa
jab yaha se jaaunga mai aur kya le jaaunga
jab yaha se jaaunga mai aur kya le jaaunga
ek neki ek bhalaai ek dua le jaaunga
jab yaha se jaaunga mai aur kya le jaaunga
chaar din ki jindagaani aur duniya chand roj
chaar din ki ye? hai jisme rahna chand roj
kyun na kar jaau jahaa me naam apna chand roj
kyun na kar jaau jahaa me naam apna chand roj
ek apna naam ya? jaaunga
jab yaha se jaaunga mai aur kya le jaaunga
ek neki ek bhalaai ek dua le jaaunga
jab yaha se jaaunga mai aur kya le jaaunga
maut ke tufaan me insaan jab bah jaayega
heera moti sona chaandi ab yahi rah jaayega
jaate jaate jaane wala bas yahi kah jaayega
jaate jaate jaane wala bas yahi kah jaayega
mai yaha laaya tha kya aur saath kya le jaaunga
jab yaha se jaaunga mai aur kya le jaaunga
ek neki ek bhalaai ek dua le jaaunga
jab yaha se jaaunga mai aur kya le jaaunga
khaak ka putala hu aur mai khaak me mil jaaunga
beej jaise bounga waise hi phal mai paaunga
ab nahi socha to marte dum bahut pachhataaunga
ab nahi socha to marte dum bahut pachhataaunga
daaman-e-hasti gunaaho se bhara le jaaunga
jab yaha se jaaunga mai aur kya le jaaunga
ek neki ek bhalaai ek dua le jaaunga
jab yaha se jaaunga mai aur kya le jaaunga
jab yaha se jaaunga mai aur kya le jaaunga
Comments for lyrics of song "Ek Din Hatimtai Se Kisi Ne Puchha"
Riaz Ali on Sunday, November 28, 2010 A very rare song of this film. For the first time I am watching Talat
Mahmood singing Qawali. Thanks.