Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Ek Lafz Mohabbat Ka - भीखा बात अधम की भीखा बात अधम की
bhikha baat adham ki bhikha baat adham ki
kahan sunan ki nahi
jo jane so kahe nahi jo kahe so jane nahi
ek lafz mohabbat ka adna ye afsana hai
ek lafze mohabbat ka adna ye afsana hai
simate to dile aashiq faile to jamana hai
ek lafz mohabbat ka adna ye afsana hai
aankho me nami si hai chup chup se vo baithe hai
najuk si nigaho me najuk sa fasana hai
ek lafz mohabbat ka adna ye afsana hai
ye ishq nahi aasan itna hi samjh lijiye
ek aag ka dariya hai aur dub ke jana hai
ek lafze mohabbat ka adna ye afsana hai
dil sange malamat ka har chand nishana hai
dil fir bhi mera dil hai dil hi to jamana hai
ek lafze mohabbat ka adna ye afsana hai
aashu to bahut se hai aankho me jigar le ke
bind jaye so moti hai reh jaye so dana hai
ek lafze mohabbat ka adna ye afsana hai
simate to dile aashiq faile to jamana hai
ek lafze mohabbat ka adna ye afsana hai
Comments for lyrics of song "Ek Lafz Mohabbat Ka"
Rab Nawaz on Wednesday, March 30, 2011 Abida Parveen Gaaiki Ka Samandar Hai. Ye Khuda Tala ki Naqabl Ay Bayan Ne
Ammat Hai Jo Khuda Ay Pak Nay Abida Parveen K Galay Mein rakh Di Hai Jiss
Say Laakhon Dilon Ko Sakooon Milta Hai
yesghumman1 on Wednesday, July 30, 2014 agam da maana hai gam sanskrit da shabad hai jaana pohunchana a agetar lag
k apohunch bhav rahasvaadi hai rabi anubhav
lost nagina on Saturday, May 11, 2013 Bohat khub! ye kis kaa tasavvur hai ye kis kaa fasaanaa hai jo ashk hai
ankhoun mein tasbiih kaa daanaa hai
Ali Mehmood on Thursday, August 21, 2014 Kiya Kehnay...Great Poetry, La-Jawab Singing, and off course your
presentation, sonay peh suhaga
shreeshnagpur on Friday, June 08, 2012 So beautiful. This has also been sung by Asha Bhonsale. Does any body have it?