Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
jis se kuch pad jaaye kaam
usko pehle karo pranam
hindu ho to raam raam
musalman ko karo salam
pakdo chhoti khincho kaan
chipke raho subah se shyam
kaam huye tak uska naam
kaam hua phir radhe shyam, radhe shyam
matlab ho imaan hamara, swarath rahe dharam
fatak bam bam bam, fatak bam bam
fatak bam bam bam, fatak bam bam
jiski laathi uski bhens
bahut purana hai sandes
tum to khali dudh peeo
gau paalan ka do updesh
kaha se chara laaonge
maal kaha paket mein se
bina ghaas ke dudh kaha
bhukh se mar jayegi bhens
kholo koi dharam duwara, chanda karo hajam
fatak bam bam bam, fatak bam bam
fatak bam bam bam, fatak bam bam
uska sabse uncha darja
jo kehlaye chalta purjha
usko koi kami nahi hai
jisko lena aaye karja
phir iss mein kahe ka harja
karja le kar bhale mukar ja
pet ka yeh sawal hai
baimani par saaf utar jaa
jo sachai ka mara hai, uska bhaag naram
fatak bam bam bam, fatak bam bam
fatak bam bam bam, fatak bam bam
chalaki aur chakme baaji
se rehte bhagwan bhi raaji
ulte sidhe karam kiye se
bande kitne kafir haji
tu to hai sabka jijaaji
phir kahe ki uh ji haaji
maal mithai mil jaaye to
kyu khata hai puri bhaji
geeta ne bhi ghyan bagara kar le koi karam
fatak bam bam bam, fatak bam bam
fatak bam bam bam, fatak bam bam
are ek hota hai namak haram
ek hota hai namak halal
jiska namak kamaye maal
uska hi hai namak kamal
dhum dhadaka karo dhamal
har din apna naya bawal
faila jag mein apna jaal
ho jayega mala maal
iss duniya mein jeena ho to
ban jaa atom bam
fatak bam bam bam, fatak bam bam
fatak bam bam bam, fatak bam bam