Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Geet Banke Labo Pe Saji - गीत बनके लबों पे सजी
geet banke labon pe saji kabhi aankho ka pani bani
thodi maine likhi thodi tune likhi jindagi ki kahani bani
jindagi ki kahani bani geet banke labo pe saji
kabhi aankho ka pani bani geet banke labo pe saji
kabhi aankho ka pani bani
thodi maine likhi thodi tune likhi jindagi ki kahani bani
jindagi ki kahani bani
pyar bhara mausam jab aaye
yaado ka guncha khil jaye
pyar bhara mausam jab aaye
yaado ka guncha khil jaye
khushbu sanso ko mehkaye
bechani dil ko tadpaye
in baharo me jab do javan dil mile
ye javani javani bani jindagi ki kahani bani
tere mere sapno ka ye ghar hai
apna ghar sab se sundar hai
naam tere ye meri umar hai
sath hai tu jo mujhko kya dar hai
teri sanso se jo meri sanse bandhi
to meri jindgani bani jindagi ki kahani bani
geet banke labo pe saji kabhi aankho ka pani bani
thodi maine likhi thodi tune likhi
jindagi ki kahani bani, jindagi ki kahani bani
tere mere sapno ka ye ghar hai
apna ghar sab se sundar hai
naam tere ye meri umar hai
sath hai tu jo mujhko kya dar hai
teri sanso se jo meri sanse bandhi
to meri jindgani bani
aayi bahare ujde chaman me khushiya loti is jivan me
fir se bandhe hum ek bandhan me
milke rahenge is aangan me
gungunane lagi dhadkano ki sada
nayi sargam suhani bani jindagi ki kahani bani
geet banke labo pe saji kabhi aankho ka pani bani
thodi maine likhi thodi tune likhi
jindagi ki kahani bani jindagi ki kahani bani
Comments for lyrics of song "Geet Banke Labo Pe Saji"
gulam dastagir panwar on Monday, December 24, 2012 hum tum kahan nahi hai
asif saim on Saturday, November 30, 2013 Niceee Song