Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Hamne Dekhi Hai In Aankhon Ki Mahakati Khushbu - हमने देखी है उन आँखों की महकती ख़ुशबू
humne dekhi hain un aankho ki mahakti khushbu
hath se chhuke ise rishto ka ilzaam na do
sirf ehsaas hain ye ruh se mahsus karo
pyar ko pyar hi rahne do koyi naam na do
humne dekhi hain un aankho ki mahakti khushbu
hath se chhuke ise rishto ka ilzaam na do
humne dekhi hain
pyaar koi bol nahi, pyar aawaz nahi
ek khamoshi hain sunti hain kaha karti hain
na ye bujhti hain, na rukti hain, na thahri hain kahin
nur ki bund hain sadiyo se baha karti hain
sirf ehsaas hain ye ruh se mahasus karo
pyar ko pyar hi rahne do koyi naam na do
humne dekhi hain un aankho ki mahakti khushbu
hath se chhuke ise rishto ka ilzaam na do
humne dekhi hain
muskurahat si khili rahti hain aankho me kahin
aur palko pe ujale se jhuke rahte hain
hoth kuch kahte nahi, kaanpte hotho pe magar
kitne khamosh se afsane ruke rahte hain
sirf ehsaas hain ye ruh se mahasus karo
pyar ko pyar hi rahne do koyi naam na do
humne dekhi hain un aankho ki mahakti khushbu
hath se chhuke ise rishto ka ilzaam na do
humne dekhi hain
Comments for lyrics of song "Hamne Dekhi Hai In Aankhon Ki Mahakati Khushbu"
Indu Puri on Sunday, September 08, 2013 pyaar koi bol nahi, pyaar aavaaz nahi ek khaamoshi hai sunati hai kahaa
karati hai naa ye bujhati hai naa rukati hai naa thahari hai kahi noor ki
boond hai sadiyo se bahaa karati hai sirf ehasaas hai ye, ruh se mahasus
karo.. kitne pyare bol ki.pyar ke ahsaas ki tarah inki tazgi
aaj bhi jyon ki tyon hai.
Anilkumar P K on Saturday, October 31, 2015 हम ने देखी है उन आखों की महकती खुशबू
हाथ से छूके इसे रिश्तो का इल्जाम ना दो
सिर्फ एहसास है ये रूह से महसूस करो
प्यार को प्यार ही रहने दो कोई नाम ना दो
प्यार कोई बोल नहीं, प्यार आवाज नहीं
एक खामोशी है सुनती है कहा करती है
न ये बुझती है, न रुकती है, न ठहरी है कही
नूर की बूँद है, सदियों से बहा करती है
मुस्कराहट सी खिली रहती है आँखों में कही
और पलको पे उजाले से झुके रहते हैं
होंठ कुछ कहते नहीं, कापते होठों पे मगर
कितने खामोश से अफसाने रुके रहते हैं
Anilkumar P K on Saturday, October 31, 2015 muskaraahat si khili rahati hai aankho me kahi
aur palako pe ujaale se chhupe rahate hai
hoth kuchh kahate nahi, kaanpate hotho pe magar
kitane khaamosh se afasaane ruke rahate hai
sirf ehasaas hai ye, ruh se mahasus karo
pyaar ko pyaar hi rahane do, koi naam naa do
Nitin Modi on Friday, November 06, 2015 Simply outstanding . True love defined in words by Gulzar saheb gr8
singiing by lata di
Harjinder Gill on Friday, November 06, 2015 awesome song that shows the classic poetry of GULZAR ...