Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Heer Tu Meri - हीर तू मेरी
ye jo hai tere mere darmiyaan
ishq ki hai yeh gehri sardiyaan
dil mera keh saka naa alvida
kuch alag teri meri yaariyan
meri aankhon mein tera
aaina chhupa sa hai
lamha yeh tera mera
kuchh ruka ruka sa hai
oh soniyo...
aasmani yeh chehra
kis kadar gehra hai
faaslon ka samandar
bakhuda keh raha hai
oh soniyo...
heer tu meri
raanjhna main tera
heer tu meri
raanjhna main tera
aaye zindagi mein ho yoon
ab na jaana tum kabhi
kehkasha iss mohabbat ka
tera mera hai yahin
hai tumhaari adaaon ka maara
karey kya mera dil mere humnavaa
samaa yeh kare bekarari si dil mein
yeh dil to mera tere bin maane na
heer tu meri
ranjhana main tera
kaafir nahi main mujhe tha yaqeen
tumsa milega koi humnasheen
yaadon ka kaafila hua ajnabee
kare besabar ab mujhe har ghadi
ye jo hai tere mere darmiyaan
ishq ki hai yeh gehri sardiyaan
dil mera keh saka naa alvida
kuchh alag teri meri yaariyan
meri aankhon mein tera
aaina chhupa sa hai
lamha yeh tera mera
kuch ruka ruka sa hai
oh soniyo...
aasmani yeh chehra
kis kadar gehra hai
faaslon ka samandar
bakhuda kehe raha hai
oh soniyo...
heer main teri
raanjhana tu mera
heer tu meri
raanjhna main tera