Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Hone Lagaa Hai Mujhape Jawaani Kaa Ab Asar - होने लगा है मुझपे जवानी का अब असर
hone lagaa hai mujh pe jawaani kaa ab asar
jhuki jaae nazar
hone lagaa hai mujh pe jawaani kaa ab asar
jhuki jaae nazar
dekho chhalak padi hai mere rup ki gagar
jhuki jaae nazar, ho jhuki jaae nazar
hone lagaa hai mujh pe jawaani kaa ab asar
jhuki jaae nazar
ik aisi dagar par aai meri umar
damki hai meri duniyaa jhamke meri jhaanjhar
ik aisi dagar par aai meri umar
damki hai meri duniyaa jhamke meri jhaanjhar
dulhan ki tarah
dulhan ki tarah aaj mai ban than chali kidhar
jhuki jaae nazar, ho jhuki jaae nazar
hone lagaa hai mujh pe jawaani kaa ab asar
jhuki jaae nazar
musakaa rahaa hai man, sharmaa rahe nayan
palko me jhumne lage pyaar ke sapan
musakaa rahaa hai man, sharmaa rahe nayan
palko me jhumne lage pyaar ke sapan
chupke se mere
chupke se mere dil me koi kar rahaa hai ghar
jhuki jaae nazar, ho jhuki jaae nazar
hone lagaa hai mujh pe jawaani kaa ab asar
jhuki jaae nazar
apnaa hai ab ye haal latpat hui hai chaal
mai aise dolun jaise dole pavan me daal
apnaa hai ab ye haal latpat hui hai chaal
mai aise dolun jaise dole pavan me daal
padne lage hai
padne lage hai paanv mere ab idhar udhar
jhuki jaae nazar, ho jhuki jaae nazar
hone lagaa hai mujh pe jawaani kaa ab asar
jhuki jaae nazar, ho jhuki jaae nazar
Comments for lyrics of song "Hone Lagaa Hai Mujhape Jawaani Kaa Ab Asar"
V. Siddhartha on Sunday, January 10, 2010 A self-conscious girl lyrically yet bashfully celebrates the blossoming of
maturity and sensuality in herself-- vocally conveyed by Lataji in her
unmatchable expression of feminine sweetness.Thanks, Ajay.
rumahale on Monday, April 12, 2010 Excellent one by C Ramachandra and Lata Mangeshkar combine. Thanks for
making it available.
Hussain Al Sajwani on Tuesday, September 28, 2010 Best copy uploaded. Thanks to vintagemelodies.