Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Hum Na Jaibe Balam Ghar Ho Bhabhi - हम ना जाईबे बलम घर हो भाभी
hum na jaibe balam ghar ho bhabhi
hum na jaibe balam ghar ho
hum na jaibe balam ghar ho bhabhi
hum na jaibe balam ghar ho
hum ko laage bahut dar haay haay bahut dar ho bhabhi
hum na jaibe balam ghar ho bhabi
hum na jaibe balam ghar ho
pa ke akeli jo chhodega saiya
pa ke akeli jo chhodega saiya
ghunghata utha ke marodega baiya
jab vo bulayega kar ke ishare haye raam
jab vo bulayega kar ke ishare
jaungi kaise palang par haye haye palang par ho bhabhi
hum na jaibe balam ghar ho bhabhi
hum na jaibe balam ghar ho
hum na jaibe balam ghar ho bhabhi
hum na jaibe balam ghar ho
maine to sabki najar se chhupa ke
maine to sabki najar se chhupa ke
rakhi thi kori umariya bacha ke
lut na jaau kahi sasuraal ja ke haye raam
lut na jaau kahi sasuraal ja ke
dil mera kanpe thar thar haay haay re thar thar ho bhabi
hum na jaibe balam ghar ho bhabhi
hum na jaibe balam ghar ho
hum na jaibe balam ghar ho bhabhi
hum na jaibe balam ghar ho
hote hai ye mard sab ek jaise
hote hai ye mard sab ek jaise
inka bharosa kare koi kaise
jaane julm kya kare julmi saiyan haay raam
jaane julm kya kare julmi saiyan
kaise sahungi umar bhar haay haay umar bhar ho bhabhi
hum na jaibe balam ghar ho bhabhi
hum na jaibe balam ghar ho
hum na jaibe balam ghar ho bhabhi
hum na jaibe balam ghar ho
man me to ha ha hai hotho pe na na
man me to ha ha hai hotho pe na na
dekho banaati hai kaisa bahana
saiya se sangam jo ek baaar hoga
aayegi fir na palt ke haay haay palt ke ho bhabhi
hum na jaibe balam ghar ho bhabhi
hum na jaibe balam ghar ho
hum na jaibe balam ghar ho bhabhi
hum na jaibe balam ghar ho
Comments for lyrics of song "Hum Na Jaibe Balam Ghar Ho Bhabhi"
Ramkabharosa on Friday, June 06, 2014 (1985 Hindi film, Ghar Dwaar, version - Sachin & Tanuja, 1985)
0. Ham na jaibe balam ghar ho, bhaabhi; ham na jaibe balam ghar ho. (2)
Ham ko laage bahut darr, haay haay; bahut darr ho, bhaabhi.
Ham na jaibe balam ghar ho bhaabi; ham na jaibe balam ghar ho.
I won't go to my husband's (beloved's) home, O sister-in-law
I am feeling more and more scared; Oh, Oh; O sister-in-law.
1. Pa ke akeli jo chheṛegaa saiyaa . . . ;
Pa ke akeli jo chheṛegaa saiyaa; gungata utha ke maroṛegaa baiya.
Jab voh bhulayega kar ke ishare, haay Raam; jab voh bhulayega kar ke
ishare.
Jaunga kaise palang par, haay haay; palang par ho, bhaabhi.
Finding me alone, he will tease me;
He will lift the veil; and twist my arm (make me do what I don't wish to).
When he summons (calls) me by signaling (with his fingers), O Ram.
How will I go over to the bed; Oh, Oh; O sister-in-law.
2. Maine to sabki nazar se chhupaa ke . . . ;
Maine to sabki nazar se chhupaa ke; rakhi thi kori umariyaa bachhao ke.
Luthe na jaau kahi sasuraal jaa ke, haay Raam; luthe na jaau kahi sasuraal
jaa ke.
Dil mera kanpe thar thar, haay haay; re thar thar ho, bhaabhi.
Hidden from everyone's gaze;
I have protected (guarded) my youth and beauty.
I might lose all I possess by going to my in-laws place, O Ram.
My heart is beating faster and faster; Oh, Oh; O sister-in-law.
Ramkabharosa on Friday, June 06, 2014 1. Ham na jaibe sasur ghar men, baaba. 2. Apnaa (apanaa) jaibe babur ban
men.
(a) Both sung by Sundar Popo in the late 1970s. (9.90/10) & (9.90/10),
respectively.
(b) Both re-sung by Kanchan in the early 1980s. (9.95/10) &
(9.90/10), respectively.
3. Ham na jaibe balama ghar ho, bhaabhi (1985 Hindi film Ghar
Dwaar). (9.95/10).
T E R M I N A T O R on Saturday, February 20, 2010 Get your hands cut off for typing BS. Kanchan did 'Hum Na Jaibe', and
you're also confused with 'Ab Na Jaibe'.
Ryan Jhingree on Sunday, October 25, 2009 Hell no... I love Kanchan... Popo is the man... But the original is by FAR
the best one
prashant thakre on Saturday, June 20, 2015 I think Original one Ham na jaibe kothariya me by Munni ketkiwali released
on 1966