Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Insaah Ki Khursi Pe Pehale Tum Khud Ko Bithaao - इंसाफ की कुर्सी पे पहले तुम खुद को बिठाओ
insaf ki khursi pe pehale tum khud ko bithao
maine galat kya kiya hai mujhe phir batao
ansu bahake mujhe tum na doshi banao
yeh mera nahi insaf ka faisala hai
insaf ka faisala bhagvan ka faisala
insaf ka faisala bhagvan ka faisala
i am in the hands of law anything can happen
its not my flaw
hoti nahi nyay ki do ankhein
sehani padati hai hamein yeh batein
dharm ke kathin yeh raste hain
ek jaise sab ke waste hain
bhul jata hoon khud ki bhi surat
banata hoon main jab nya ki murat
uss samay mera koyi kuchh nahi
main bhi main nahi tum bhi tum nahi
mere liye toh insaf hi bhagvan
yeh mera nahi insaf ka faisala hai
insaf ka faisala bhagvan ka faisala
insaf ka faisala bhagvan ka faisala
patni ko aur putr ko harishchandra ne chhod a
garbhwati sita ko ram ne ban mein chhod a
karn ne apani man se bhi nata nahi joda
apne khun ko khud maine di hai saja
jwalamukhi jaisa dil jala mera
yeh sab kyun huwa kyun kis liye kis liye
kanun ko nibhane ke liye insaf ki surksha ke liye
sachchayi ko bachane ke liye
insaf ki khursi pe pehale tum khud ko bithao
maine galat kya kiya hai mujhe phir batao
ansu bahake mujhe tum na doshi banao
insaf ka faisala bhagvan ka faisala