Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Is Desh Ki Hai Aaj Bhi Toofan Me Naiyya - इस देश की है आज भी तूफान मे नैया
iss desh ki hai aaj bhi toofan me naiya
bharat me fir se aa jao balram kanaiya
sab aur pada sukha adha hai desh bukha
ghangor hai mehngai janta hai tang aayi
galiyo me bade bade ajgar hai chipe pade
daste hai aaj bhi naag hame ae naag na thaiya
bharat me fir se aa jao balram kanaiya
mahalo me hai diwali kutiyo me raat kali
kuch lo sukh jite baki aanshu pite
ye desh ki surat hai ab aao jarurat hai
lakho sudamao ki hai sunasan madaiya
bharat me fir se aa jao balram kanaiya
ye soch rahe hai sabhi aisa tha na waqt kabhi
bacche na dudh pate maa baap jhatpatate
hey din bandu aao karuna ke sindu aao
kat ti lakho har sal yaha gopal teri gaiya
bharat me fir se aa jao balram kanaiya
iss desh ki hai aaj bhi toofan me naiya
bharat me fir se aa jao balram kanaiya
Comments for lyrics of song "Is Desh Ki Hai Aaj Bhi Toofan Me Naiyya"
harpreetkaur2009 on Tuesday, September 13, 2011 Fond memories of seeing thois movie in the theater