Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Jag Ghoomeya (Female) - जग घूमैया (फिमेल)
na wo akhiya ruhani kahi, na wo chehra nurani kahi
kahi dil wali baate bhi na, na wo sajri jawani kahi
jag ghoomeya thaare jaisa na koi
jag ghoomeya thaare jaisa na koi
na to hasna rumaani kahi, na to khusbu suhani kahi
na wo rangli adaye dekhi, na wo pyari si nadani kahi
jaisa tu hai waisa rehna
jag ghoomeya thaare jaisa na koi
jag ghoomeya thaare jaisa na koi
jag ghoomeya thaare jaisa na koi
jag ghoomeya thaare jaisa na koi
baarisho ke mausamo ki bheegi hariyali tu
sardiyo me gaalo pe jo aati mere laali tu
raato ka sukun
raato ka sukun bhi hai, subah ki azaan hai
chaahato ki chaadaro me kare rakhwali tu
kabhi haq saare rakhta hai, kabhi samjhe begaani kahi
tu to janta hai marke bhi, mujhe aati hai nibhani kahi
wahi karna jo hai kehna
jag ghoomeya thaare jaisa na koi
jag ghoomeya thaare jaisa na koi
apne nasibo me yaa honsle ki baato me
sukho aur dukho wali saari saugato me
sang tujhe rakhna hai
sang tujhe rakhna hai, tere sang rehna
meri duniya me bhi mere jazbaato me
teri milti nishani kahi, jo hai sabko dikhani kahi
mai to janti hai marke bhi tujhe aati hai nibhani kahi
wahi karna hai jo hai kehna
jag ghoomeya thaare jaisa na koi
jag ghoomeya thaare jaisa na koi
jag ghoomeya thaare jaisa na koi
jag ghoomeya thaare jaisa na koi