Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Janam Janam Kaa Hai Ye Naataa Teraa Meraa Saajanaa
janam janam ka naata,janam janam ka hain ye naata
janam janam ka hain ye naata tera mera sajanaa
janam janam ka hain ye naata tera mera sajanaa
saath kabhi na chhute pyaar kabhi na tute baalamaa
janam janam ka hain ye naata tera mera sajanaa
banke sharmili dulhane saj-dhaj ke bahaare aayengi
banke sharmili dulhane saj-dhaj ke bahaare aayengi
mithi-mithi si khushabu se,mithi-mithi si khushabu se
man ki bagiyaa mahkaayengi
bas git yahi duharaayegi,bas git yahi
bas git yahi duharaayegi,amar rahegaa pyaar apanaa
janam janam ka hain ye naata tera mera sajanaa
mai saritaa tu saagar hai mai badari tu saavan hai
mai saritaa tu saagar hai mai badari tu saavan hai
mai chhaya hun sundar sapano ki,
mai chhaya hun sundar sapano ki
tu aashaayon kaa darpan hai
tu maajhi mai naiyaa teri,tu maajhi
tu maajhi mai naiyaa teri
ye pyaar banaa patavaar apanaa
janam janam ka hain ye naata tera mera sajanaa
hai prit madhur si raagini jivan vinaa ke taar ki
hai prit madhur si raagini jivan vinaa ke taar ki
jo dekhi tere naino me,jo dekhi tere naino me
hai amar vo jyoti pyaar ki
is paar kabhi us paar kabhi,is paar kabhi
is paar kabhi us paar kabhi
huaa milan sau baar apanaa
janam janam ka hain ye naata tera mera saajanaa
saath kabhi na chute,pyaar kabhi na tute baalma
janam janam ka hain ye naata tera mera saajanaa