Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Janmo Janam Ka Tujhse Rishtaa Mera - जन्मों जन्म का तुझसे रिश्ता मेरा
janmo janam ka tujhse rishta mera
marke bhi honge na hum tujhse juda aa
paane ki tujhko ki hai humne khata
ab jo bhi duniya chaahe dede saza aa
janmo janam ka tujhse rishta mera
marke bhi honge na hum tujhse juda aa
paane ki tujhko ki hai humne khata
ab jo bhi duniya chaahe dede saza aa
jab bhi likhega tujhe hi likhega
meri taqdeer mein mera khuda
janmo janam ka tujhse rishta mera
marke bhi honge na hum tujhse juda
lafzo ki dharti banjar ugte hai kankar patthar
sachche hai jazbe mere jazbo ko de de maali
aankho mein padh le aaja dhadkan mein sun le aaja
mehsoos kar le jaan is dil ki bezabani
khamoshi ki palko par har aansu ek kahani
khamoshi ki palko par har aansu ek kahani
tootenge jab ye aansu hogi sada
goonjegi aaho se ye saari faza
janmo janam ka tujhse rishta mera
marke bhi honge na hum tujhse juda aa
tera mera ye rishta hai aasmaan pe likha
na iska naam koi na iska koi chehra
tod ke saare dhaage nikle hado se aage
deewangi ki khaatir humne chuna hai sehra
hum tum behta pani hai pani pe kiska pehra
hum tum behta pani hai pani pe kiska pehra
aazad fitrat apni jaise hawa
marzi se apni barse jaise ghata aa
janmo janam ka tujhse rishta mera
marke bhi honge na hum tujhse juda
jab bhi likhega tujhe hi likhega
meri taqdeer mein mera khuda
janmo janam ka tujhse rishta mera
marke bhi honge na hum tujhse juda aa