Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Jindagi Hai To Maut Aayegi - जिन्दगी हैं तो मौत आएगी
jindagi hai to maut aayegi, jindagi fir bhi muskurayegi
kaise jeena hai kaise marna hai, faisla iska khud ko karna hai
balidhani vatan pe amar ho gaye, hai naman apna aise viro ko

koi jaati nahi koi bhasha nahi, desh ko sabse upar se mane
na ye hindu hai na ye musalman hai
kudh ko bharat ki santan jane
yahi janani hai yahi mata hai, desh hi inka bas vidhata hai
desh pe marna jisko ata hai, bhagyashali vo kahlata hai
balidhani vatan pe amar ho gaye, hai naman apna aise viro ko
jab seemao pe aaye sankat kahi, inhi viro ne inko mitaya
apni sakti hai kya apna sahs hai kya
inhi viro ne jag ko dikhaya
is himalaya ka man inse hai, ganga jamana ki shan inse hai
koti koti me pran inse hai, jan gan man ka gaan inse hai
balidhani vatan pe amar ho gaye, hai naman apna aise viro ko
jindagi hai to maut aayegi, jindagi fir bhi muskurayegi
kaise jeena hai kaise marna hai, faisla iska khud ko karna hai
balidhani vatan pe amar ho gaye, hai naman apna aise viro ko
hai naman apna aise viro ko
hai naman apna aise viro ko