Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Chundariya Katati Jaye Re, Umariya Ghatati Jaye Re - चुन्दरिया कटती जाये रे, उमरिया घटती जाये रे
jundhariya kat ti jaaye re
umariya ghat ti jaaye re
kaam kathan hai jiwan thoda
kaam kathan hai re
kaam kathan hai jiwan thoda
paglaa mann ghabraaye
jundhariya kat ti jaaye re
umariyaa ghat ti jaaye re
dukh-dard sahe banjaare bhaiya
dhup me dekhe taare
din-raat bahaaye pasina hum
kuch haath na aaye hamaare
kuch haath na aaye hamaare
hamari saari mehnat maayaa
thagawaa thag le jaaye
jundhariya kat ti jaaye re
umariya ghat ti jaaye re
dharti pe kitne baaraa-maase
beet gaye re aa ke raamaa
beet gaye re aa ke
duniya ke liye hai leela teri
hmare bhaag me phaanke raamaa
hmare bhaag me phaanke
kaagaj ho to baanch lun raamaa
bhaag na baancho jaaye
jundhariya kat ti jaaye re
umariya ghat ti jaaye re
sansaar me tere lut machi
aur jaan ke pad gaye laale
aur jaan ke pad gaye laale
ab rok janam ki chakki re
ab rok janam ki chakki re
sansaar chalaane waale
sansaar chalaane waale
kaal padaa hai roti ka aur
duniya badhati jaaye
jundhariya kat ti jaaye re
umariya ghat ti jaaye re
Comments for lyrics of song "Chundariya Katati Jaye Re, Umariya Ghatati Jaye Re"
mastkalandr on Monday, March 05, 2012 @hd12350 Ye to khaiyat thi Producer / Director Mehboob Khan sahab ki, Unka
nazariya, wo badi bariki se har set ko aur action ko dekhte the aur
santusth hone par hi darshko ke samne pesh karte the.. Thanks for sharing
this touching song..
Subramanian A on Thursday, December 25, 2014 Is there any more song required to express the hardships of life?
mastkalandr on Monday, March 05, 2012 @spcosho ..Thanks for sharing..
hd12350 on Monday, March 05, 2012 is film ka har frame dil ko chhu lene wala hai
Bhagirathi Kumar Singh on Saturday, January 07, 2012 Sound quality is not good.