Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Kaam Jahan Mein Kya-Kyaa Hote... Din-Dahade - काम जहां में क्या-क्या होते...दिन -दहाड़े
kaisa nazuk daur hai dekho
kaisa nazuk daur hai dekho
paharedar bhi chor hai dekho
ujale ujale bhesh mein bande
ghunghat kholo to ye nange
husn yahan par lutte rahte
husn yahan par lutte rahte
husn yahan par lutte rahte
din-dahade, din-dahade, din-dahade
unche unche mahlon vale
unche unche mahlon vale
kitna niche girte jayein
bagador hai hath mein inke
jisko chahe use nachayein
chikh kisi ki suni na jaye
chikh kisi ki suni na jaye
chikh kisi ki suni na jaye
din-dahade, din-dahade, din-dahade
kul dharati shamshan bani hai
kul dharati shamshan bani hai
zulmon ka tufan bani hai
gandhi tilak javahar bhagat singh
kab tak ye sab katte rahenge
isa suli chadhaye jate
isa suli chadhaye jate
isa suli chadhaye jate
din-dahade, din-dahade, din-dahade
tu kyon chup hai upar vale
are tu kyon chup hai upar vale
ab ye duniya kaun sambhale
ek pal tu dharati pe aa ja
chakr sudarshan yahan chala ja
barbadi ke savan dekhe
barbadi ke savan dekhe
din-dahade, din-dahade, din-dahade
kaam jahan mein kya-kya hote
kaam jahan mein kya-kya hote