Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Kah Do Koi Na Kare Yaha Pyaar - कह दो कोई ना करे यहाँ प्यार
bikhar gaye bachpan ke sapne, armaao ki shaam dhale
kahi saje baarat kisi ki, kahi kisi ka pyaar jale
kah do koi na kare yaha pyaar
kah do koi na kare yaha pyaar
isme kushiya hai kam, beshumaar hai gam
ek hansi aur aansu hazaar
kah do koi na kare yaha pyaar
prit patanga diye se kare
prit patanga diye se kare
uski hi lau me vo jal-jal mare
mushkil raahe yaha, ashk aur aahe yaha
isme chain nahi na karaar
kah do koi na kare yaha pyaar
hamne to samajha tha phul khile
hamne to samajha tha phul khile
chun-chun ke dekha to kaante mile
ye anokha jahaan, hardam dhokha yaha
is viraane me kaisi bahaar
kah do koi na kare yaha pyaar
isme kushiya hai kam, beshumaar hai gam
ek hansi aur aansu hazaar
kah do koi na kare yaha pyaar
Comments for lyrics of song "Kah Do Koi Na Kare Yaha Pyaar"
Chiman Jagani on Tuesday, September 27, 2011 Album: Goonj Uthi Shehnai
Year: 1959
Track: Kahdo Koi Na Kare Yahan Pyar
Singer: Rafi
Album Star Cast: RajendraKumar Ameeta
Track Star Cast: RajendraKumar
Chander Kapoor on Monday, October 21, 2013 This Mohd.Rafi beauty was composed by Vasant Desai and written by Pt.Bharat
Vyas,for Goonj Uthi Shehnai.I have sung this song in my childhood at
various functions.Thanks a lot for uploading one of Rafi Sahibs best song.
acekphadnis on Wednesday, August 31, 2011 Rafi sahab jaisi Pahadi-Bulnd awaj ab doobara iss dhartipar paida nahi ho sakti ye mera bharosa nahi balki yakeen hai. jara gaurse soono iss gane ko. Kya dard he kya variation hai. A real good treat to Rafi lovers.
sharad phadnis on Wednesday, August 31, 2011 Rafi sahab jaisi Pahadi-Bulnd awaj ab doobara iss dhartipar paida nahi ho sakti ye mera bharosa nahi balki yakeen hai. jara gaurse soono iss gane ko. Kya dard he kya variation hai. A real good treat to Rafi lovers.
pratap narayan shelar on Friday, August 15, 2014 Keh do koi na kare yahan pyar...jab apna bachpan ka satthi bichad jaata
hai to...jeena muskil ho jaatta hai.dil ko chune vala song...vah rafi
ji..