Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Koi Apna Na Huwa - कोई अपना ना हुआ
koi apna na hua, sari zindagi ke liye
bahut hai pyar jo mil jaye do ghadi ke liye
koi apna na hua, sari zindagi ke liye
bahut hai pyar jo mil jaye do ghadi ke liye
hum to aaye hai is jahan me, apa hi ke liye
dil to dil, jaan bhi de denge dosti ke liye
wafa ke naam pe dhokhe hi diye jate hai
todne hi ke liye vaade kiye jate hai
log duniya me sabhi bewafa nahi hote
log duniya me sabhi bewafa nahi hote
jalte virano me phul kya nahi hote
bewafa kahna munasib nahi sabhi ke liye
dil to dil, jaan bhi de denge dosti ke liye
zindagi kabse khadi meri teri raaho me
gila rahe na koi bhar le mujhko baaho me
dil nahi bharte kabhi aisi waisi baato se
dil nahi bharte kabhi aisi waisi baato se
gham judai ke nahi mitte mulakato se
hazaro ranj sahe humne ek khushi ke liye
bahut hai pyar jo mil jaye do ghadi ke liye
haasil-e-zindagi kya hai teri chahat ke siwa
kuch nahi did ke kabil teri surat ke siwa
nigahe apni jhuki
nigahe apni jhuki, teri bandgi ke liye
dil to dil, jaan bhi de denge dosti ke liye
koi apna na hua, sari zindagi ke liye
bahut hai pyar jo mil jaye do ghadi ke liye
Comments for lyrics of song "Koi Apna Na Huwa"
Muhammad Kashif Ansari on Thursday, February 16, 2012 bahi jan koi is film ka nam janta ho to baria mehrbani is number per rabta
karin 03008313133.correct name batanay waly ko gift send kia jai ga. i
shapat
Muhammad Kashif Ansari on Thursday, February 09, 2012 film Gul-e-bakawli Director- Afzal Ahmed Shaikh City-Khairpur Music
Director- Jawed Ahmed Malik Relasead By- Uzair Enterprises Releasesd Year -
1982
tahir abbas on Sunday, May 26, 2013 this is a best songs of kishore life and i looking other song of same movie
up load here if u havea with thanks
tahir abbas on Sunday, May 26, 2013 need other song frm same movie Nafrat Chhupi Hui Hat if u ve please up load
here wtih tnxs
Muhammad Kashif Ansari on Thursday, February 09, 2012 wah afzal bahi wah kamal ki film bani ha, release he nahi hue wase ya
khayal kesy aya.