Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Laharaati Hui Raahen Khole Huye Hai Bahen - लहराती हुई राहे खोले हुए है बाहे
leharati hui raahe khole huye hai baahe
ye ham aa gaye hai kaha
palko pe gehre halke hai reshami dhundhalake
ye ham aa gaye hai kaha
ha, ye ham aa gaye hai kaha
wo dekho zara parbato pe ghataye
hamari dasta haule se sunaye
suno to jara ye phulo ki wadi
hamari hi koi kahani hai sunati
sapano ke is nagar me, yado ki rahguzar me
ye ham aa gaye hai kaha
ha, ye ham aa gaye hai kaha
jo raaho me hai rut ne sona bikhera
sunehara hua tera mera savera
jami so gai barf ki chadaro me
bas ik aag si jalati hai do dilo me
hawaye sansanaye badan kaanp jaye
ye ham aa gaye hai kaha
ha ye ham aa gaye hai kaha
ye barsaat bhi kab thame kaun jane
tumhe mil gaye pyar ke sau bahane
sitaro ki hai jaise barat aayi
hamare liye raat yu jagamagayi
sapne bhi jhilamilaye, dil me diye jalaye
ye ham aa gaye hai kaha
ha ye ham aa gaye hai kaha
ha ye ham aa gaye hai kaha
lyrics typed by : ruchita parab
Comments for lyrics of song "Laharaati Hui Raahen Khole Huye Hai Bahen"
Shahreen Akhter on Thursday, April 14, 2011 hey why wasnt this in the movie? at least this would made the court scene
much better to watch
dilkash1982 on Friday, July 17, 2009 nice song. aftr all SRK is thr!!
& thnx for da lyrics...
MrRavipanjwani on Wednesday, July 29, 2009 awsome.hw natural the priety zinta iz looking.