Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Lakho Log Chale Hai Bilakhte - लाखो लोग चले है बिलखते
lakho log chale hai bilakhte lakho log chale hai sisakte
kaha ho dunia ke rakhwalo ek najar in par bhi dalo
dekho ye dukhio ki katare chin rahi hai inki bahare
ye sare insan lute hai inke sab arman lute hai
inke sapne tut gaye hai sathi piche chut gaye hai
aise hal hue hai inke jaise ho tufan ke tinke
haye siyasat kitni gandi buri hai kitni thirka bandi
aaj ye sab ke sab nar nari ho gaye rashte ke bikhari
lute hai lahko suhag gharo ke bujhe hai lakho chirag gharo ke
pucho aaj kahenge ye mukhde kitni chudiyo ke ho gaye tukde
dekho hamne ghar ko kis tarah bata hai
ek hath ne hath dusra kata hai
dekho ye ghayal takdire gum ki ye jinda taswire
koi na isko suhagan kahna kahna ho to abhagan kahna
kahi pe inke pyare chin gaye kahi pe inke dulare chin gaye
inka dil kuch aisa hai tuta inko lagta hai jag jhutha
inko hui hai jahan se nafrat inko hui insan se nafrat
apni ye dukhiyari bahne konsi dunia me jaye rahne
inko dhokha dene walo inse badla lene walo
kaho inhone kya tha bigada inka ghar kyu tumne ujada
chin liye kyu inke khilone kon sa pap kiya tha inhone
lakho prani juda hue lachar bane
arey ye kaisa dharm ki jo diwaar bane
arey ye kaisa dharm ki jo diwaar bane
arey ye kaisa dharm ki jo diwaar bane
Comments for lyrics of song "Lakho Log Chale Hai Bilakhte"
arun bhardwaj on Monday, March 31, 2014 speechless 1947 vibhajan pics