Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Likhungi Mahabharat Naya - लिखूंगी महाभारत नया
duryodhan dussasan ke pap
aur niti bhare raj me
likhungi mahabharat naya
rakt bhare aansuo se aaj main
chir haran ka maan bhang ka
ma ki vedna bhare
chitkar ka, chitkar ka
ma ka tan chir ke janme
ma ki god me soye
ma ki boli pe bole
ma ke hi pyar ko roye
tumne hi ma ke stan pe
shishu mukh ki mohar lagayi
ma ke is tan me tumahare liye
mamta ki nadi lahrayi
lekin tumne bachpan ka
sara itihas bhulaya
palte rahe jis aanchal me
us aanchal ko sarkaya
shre ka apmaan karke kiya
apmaan ma ke hi pyar ka
likhungi mabharat naya
rakt bhare aansuo se aaj main
chir haran ka maan bhang ka
ma ki vedna bhare
chitkar ka, chitkar ka
ma hone ki bhavna
rakhna hi pap ho gaya
stri ke liye sara jivan
kaise ek shrap ho gaya
nari ne har roop me apna
sab kuch tum pe wara
lekin grahsti ki vastu samajh kar
tumne use nihara
mat samjho ise marm sthan
ye hai tumahara janm sthan
manavta ka puny sthan
tum bhasna me huye aise andhe
ma ko bhi loot liya hai
tum wo pashu ho jisne humari
sanskriti ka nash kiya hai
papi ho tu durachari ho tum
papi ho tum vybhchari ho tum
kahte ho apne ko manav ho tum
manav ke roop me danav ho tum
prano ke bhay se kayar purush ki
jibbha to khulti nahi hai
ma bahan patni ki lazza bacha le
ab isme shakti nahi hai
kahna hai ye mujhe nari samaj se
ma banne ka svapn dekhe na aaj se
duryodhan dussasan hi janm lenge
khelenge jo wo bahno ki laaz se
yun bhrath yuva pidhiya to
manav samaj ka kya hoga
kya hoga sabhyta ka kya hoga
is bharat ka kya hoga