Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Lo Hum Aaye Dulha Bhaiya Ke Barati Banake - लों हम आये दूल्हा भईया के बाराती बनके
bade bhai ki baraat mein bhai naachate gaate chalate hai
aap naachenge nahi
kyun nahi laala ji main sirf naachunga nahi gaayunga bhi
sarkaar
mat puchho jo khushi ke maare aaj hai apna haal
aankhon mein chhaayi hai masti behek rahi hai chaal
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banke
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banke
aaj duniya hai hamaari aaj duniya hai hamaari chalenge tanke
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
pyaar ke dekho kaise kaise rang aaye hai sehre mein
hamne apne armaano ke phul sajaaye sehre mein
pyaar ke dekho kaise kaise rang aaye hai sehre mein
hamne apane armaano ke phul sajaaye sehre mein
dil ke gulshan se haay dil ke gulshan se laaye hai jo chun chunke
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
waha talak khushiya hi khushiya najar jaha tak jaati hai
khush kismat logo ko kismat aisa din dikhlaati hai
waha talak khushiya hi khushiya najar jaha tak jaati hai
khush kismat logo ko kismat aisa din dikhlaati hai
isi din ko haay isi din ko gujaare din gin ginake
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
khushi mein dhadkan tej ho gayi tej karo lay baaje ki
apni manjil tak aa pahunchi ghodi dulhe raaje ki
khushi mein dhadkan tej ho gayi tej karo lay baaje ki
apni manjil tak aa pahunchi ghodi dulhe raaje ki
ho dil jhume haay dil jhume shehnaayi ki sadaayein sunake
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
aaj duniya hai hamaari chalenge tan ke
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
Comments for lyrics of song "Lo Hum Aaye Dulha Bhaiya Ke Barati Banake"
TheDeepakp on Sunday, April 06, 2014 Film cast: Rajendra Kumar, Rakhee, Pran, Jagdeep, Kum Kum, Som Dutt,
Kanhaiya Lal, Baby Tabassum, Sunder, Bhagwan, Anwar Hussan, Ram Mohan,
Moolchand, Indu Shivraj
Singer: Asha Bhosle, Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar
Lyricist: Hasrat Jaipuri, Gulshan Bawra
Music Director: Shankarsinh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Pankal
Film Director: Prakash Mehra
Film Producer: Malik Chand Kochar
twilight recordsuk on Tuesday, January 01, 2013 brillant song mohd rafi saab ke kiya baat te