Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Mai Tujhse Milne Aayi - मैं तुझसे मिलने आई
mai tujhse milne aayi mandir jane ke bahane
mai tujhse milne aayi mandir jane ke bahane
babul se jhuth boli sakhiyo se jhuth boli
mai ban gayi bilkul bholi
are o bholi tu jhuth kaha boli, tu jhuth nahi boli
pyar ko hi puja kahate hai pyar ke parvane
mai tujhse milne aayi mandir jane ke bahane
mai tujhse milne aayi mandir jane ke bahane
ho aankho me jab teri surat phir koyi murat kya hai
ho aankho me jab teri surat phir koyi murat kya hai
pyar kiya hai jisne use puja ki jarurat kya hai
maine sara jivan kar diya tujhako arpan
ho gayi mai teri mira tujhko man liya mohan
naa jane kya dekha tujhme nain huye divane
mai tujhse milne
mai tujhse milne aayi mandir jane ke bahane
mai tujhse milne aayi mandir jane ke bahane
ho gair ke hath me na de de kahi babul mori baiya
ho gair ke hath me na de de kahi babul mori baiya
chaal samay ki pahchano tum khud ko badalo saiya
kisme itana hai bal chhu le jo tera aanchal
tu hamari hogi apna dava hai atal
mod de ham to samay ki dhara aise hai mastane
mai tujhse milane
mai tujhse milne aayi mandir jane ke bahane
mai tujhse milne aayi mandir jane ke bahane
babul se jhuth boli sakhiyo se jhuth boli
mai ban gayi bilkul bholi
are o bholi tu jhuth kaha boli, tu jhuth nahi boli
pyar ko hi puja kahate hai pyar ke parvane
mai tujhse milne aayi mandir jane ke bahane
mai tujhse milne aayi mandir jane ke bahane
Comments for lyrics of song "Mai Tujhse Milne Aayi"
Chiman Jagani on Monday, October 17, 2011 Album: Heera Year: 1973 Track: Main Tuhse Milne Aayi Singer: Rafi Lata
Album Star Cast: SunilDutt AshaParekh ShatrughanSinha Track Star Cast:
SunilDutt AshaParekh
vinod chugh on Friday, June 12, 2015 Will u plz. Upld. Dharkan movie of sanjay khan & mumtaz. Again thnx. 4
upld. This song.
MAHESH HARPANAHALLI on Thursday, February 05, 2015 This is one of my favourite song. I enjoy the music so much.
babby baba on Friday, July 06, 2012 bachpan ka zamaana yaad aa gaya...
manas khaskel on Friday, March 29, 2013 kalyanji Anandji scored well.