Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Main Zaroor Aaunga - मैं ज़रूर आऊंगा
mere baare mein jo sochoge
mere baare mein jo sochoge
toh uss soch ke libaas mein
main hi aaunga tere honth jab bhi hasenge
toh khushiyon ki poshak mein
main hi aaunga
main zaroor aaunga
main zaroor aaunga
yeh waada hai mera
main zaroor aaunga
tere labon se shart ye hogi
lafzon mein main niklunga
tere kadam ho beshaq lekin
har aahat mein main hi milunga
teri har ik saans mein main hi aaunga
main zaroor aaunga
main zaroor aaunga
yeh waada hai mera
main zaroor aaunga
neend pehan ke aankhon mein teri
subah talak main sota rahunga
karwat jab bhi badloge tum
har karwat pe main hi dikhunga
teri har ek raat mein main hi aaunga
main zaroor aaunga
main zaroor aaunga
yeh waada hai mera
main zaroor aaunga
kehne ko tum chaloge tanha
saaya banke saath rahunga
jaaoge tum door bhi kaise
soch se teri na niklunga
kaise bhi halaat ho main hi aaunga
main zaroor aaunga
main zaroor aaunga
yeh waada hai mera
main zaroor aaunga